Jab Bhi aap naya computer ya laptop Lete Hai tu shuruaat Me to vah Achcha Hi chalta hai lekin Dhire Dhire usme pareshani Aane lagti hai aur Hamara computer hang Hona shuru ho ho jata hai aur Aise me agar Ham Koi Jaruri kam kar rahe hai aur Hamara computer & laptop hang ho jaaye Tu Is chij Se Main Bada gussa Aata Hai aur Hamara kam bhi Samay par Nahi Ho pata hai isliye Hume Apne laptop Ek computer ko hang hone Se Bachana chahiye actual me Me hang Hona Kya Hota Hai aur jab computer ya laptop hang ho jata hai Hume kya kya dekhne Ko Milta Hai Pahle Ham yah Jaan lete hai Uske bad Me hum aapko batayenge ki computer Ya laptop ko hang hone se Kaise bachaye aur Agar hang ho raha hai to usko thik kaise Karte Hai.
Computer/Laptop Hang hota hai to kya karna chahiye jane
Dosto Jab Bhi Hamara PC hang Hota Hai to hamare computer ki screen kisi Ek point par jakar freeze ho Jaati hai yani ki ruk jaati hai na to Hamara Mouse kam kar raha hota hai aur na hi Hamare keyboard ka koi button kaam karta hai yani ki Hamare computer Me Sab Kuch ruk jata hai aur ham Kuch der tak screen ko dekhne ke alava aur kuch nahi kar paate Hai ab Jara sochiye aap aap apne computer par Koi Jaruri work kar rahe hai aur Aise me aapka computer hang Hota kar Freeze ho jata hai aur aap Jo kam kar rahe the Apne computer me vah fir se shuru ho jata hai aur aapne Jitna kam kiya tha vah Sara erase ho jata hai to sochiye agar aisa aapke sath hoga to aapko Kitna Bura lagega aur aapka kam bhi Wapas karna pad Jaega aur aapka Samay bhi kharab hoga tab Aisi samasya se bachne ke liye yah jaruri hai ki Hume laptop computer ko hang hone se rokane ke upay pata hone chaliye ab hum aapko computer ya laptop ke hang hone ki problem ko thik karne ka tarika bata dete hai.
Laptop/Computer hang ho raha hai to ise thik kare
Laptop ya computer Hamare PC me install software ki vajah se bhi hang ho sakta hai aur hardware ki vajah se bhi hain ho sakta hai To Ham Hanging problem ko thik karne ke 3 tarike Bata rahe hai to aap acche se padh kar follow Kare.
Mathod -: 1
Aapka computer hang ho raha hai to aap is mathod ko sabse pahle follow kare isse aap samasya kaafi had tak thik ho jayegi.
Step-:1 Hume sabse pahle computer me windows start button press kare aur yaha par MsConfig ko search karke iske option ko select kare.
Step-:2 aapke samne naya popup khulega isme aapko tab wale section me service ka option milega ise select kare uske baad Disable all > ok> Apply par click kare.
Step-:3 Finally aapko compute ya laptop ko restart karne ke liye bola jayega to Restart Now kare ab aapka system fir se chalu hoga.
Jab aapka Laptop ya Computer fir se start hoga to aap dekh sakte hai ki jo aapko hang hone wali problem thi usme bahut sudhar ho gaya hai aur ab aapka system pahle se behtar ho gaya hai.
Mathod -: 2
Hum aapko dusra method bata rahe hai aap isko bhi jarur try kare yah aapko laptop ya computer ki speed badhane me aapki madad karega.
Step-:1 Ab is method me aap fir se mscofing search kare aur is baar tab me Startup ke option par click kare isse Start task manager ka option aayega us par click kare. Aap chahe to Shift+ALT+ESC ko daba kar bhi direct start task manager ko khol sakte hai.
Step-:2 Jab yah khul jata hai to aapko Tab me Process ka option dekhne ko milega is par click kare.
Step-:3 Iske baad aapke computer me jitne bhi software kaam kar rahe hai wah dikhenge isme aap us software par right click kare jo sahi se kaam nahi kar raha hai.
Step-:4 Right click karne ke baad end task par click kare aur aapka kaam ho jayega.
Yah karne ke baad wah software sahi se kaam karega aur aapka computer bhi thik ho jayega. Yah bhi ek achcha tarika hai chaliye aapko ek aur method batate hai.
Mathod -: 3
Ab hum aapko ek aur tarika bata rahe hai jiski madad se aap apne computer ki performance ko jyada behtar kar sakte hai.
Step-:1 Aapko sabse pahle Shift+ALT+ESC press karke start task manager ko khol lijiye aur agar ese task manager nahi khulta hai to second method me jaise bataya hai vaise khole.
Step-:2 Iske baad me aapko Tab me Application ka option dikhega is par click kare.
Step-:3 Iske baad aapko wah sab software dikhenge jis par aap kaam kar rahe hote hai. Isliye jo bhi software nahi chal raha hai uske upar right click karke Go to Process par click kare.
Step-:4 Fir Popup khulega to Set Priority > High > Change Priority par click kare.
Isse us software ki Priority badh jati hai aur aapka computer hang hona band ho jata hai. Humne yaha par aapko yah 3 mathod bataye hai jo aapke computer ko hang hone se rokegi to ab jaldi se aap inhe try kare aur hume bataye ki aapko isse kitna fayada hua.
Conclusion
Dosto humne jo aapko Tips bataye hai aapko inhe follow karna hoga. Computer hang hone par hamare bataye hue tips se aapko bahut madad milegi vaise to computer hang hone ke aur bhi kaaran hote hai par jo hamne bataye Hai Vahi main reason hote hai ab aap ko pata hai ki agar aapka computer ya laptop hang Hota Hai To Aisi situation main aapko kya karna hai. Iske baad bhi aapko koi samasya aati hai to aap hame direct message kare aur apni problem hamare sath share kare hum aapki madad karenge.
Hum is article me hanging se related problem aur uske solution ko puri tarah se cover kar chuke hai lekin fir kuch bach gaya hai aur aapko kuch aur janna hai to hume bataye hum aapki samsya ka hal jarur karenge. Aakhir me bas yahi kahenge ki agar aapko post achcha aur helpful laga hai to isko apne dosto ke sath share kare. Hum aapko kal ek new post ke sath milenge.