Dosto Hum new post lekar aaye hai aaj aapke liye kya aapne kabhi socha hai ki jo mobile aap use kar rahe hai uska power button kharab ho jaye to kya hoga. Aaj ke time to har vyakti ke paas mobile hota hai aur mobile me samay ke sath problems to aati rahti hai usme se ek mobile ke buttons ka kharab hona bhi hota hai Mobile me jo power button aur volume button hote wah kuch samay baad kharab ho jate hai aur fir inko thik karwane ke liye hume mobile kisi dukan par lekar jana padhta hai aur apna paisa kharch karna hota hai uske baad kahi jakar hamare mobile ke button thik hote hai.
Ab agar aapko Mobile button kharab hone se bachana hai ya fir aapke mobile ka button kharab ho gaye hai to aapko mobile ko dukan par lekar jane ki jarurat nahi hai kyoki mobile me esa option hota hai jo power button ka kaam karte hai. Mobile ke is feature ko Double tap lock kahte hai aur iske alawa ek option hamare paas yah hota hai ki power button aur volume button ke liye shortcut bana sakte hai. Ab agar aap inka upyog karte hai to aapka mobile bina button ke bhi on aur off kar sakte hai. Iska ek fayda yah bhi hota hai ki aap mobile ke button ka upyog karne ke jagah is feature ka upyog karte hai to aapke mobile ke koi bhi button kabhi kharab nahi hote hai.
{getToc} $title={Table of Contents}
Mobile ka power button kaam nahi kar raha hai kya kare
Hum aapko bata chuke hai ki agar aapke mobile ka power button kaam nahi karta hai to iske liye us button ka shortcut bhi add kiya ja sakta hai aur Double tap lock bhi lagaya ja sakta hai. Hum aapko in dono ke bare me batane wale hai. Aapko is post me dono mathod dekhne ko mil jayegi to pahle hum power button ke liye shortcut kaise add kare yah jaan lete hai.
Screen Lock shortcut kaise banaye ya add kare
Shortcut hamare top menu bar me add hota hai yah hamara pahla mathod hai aap niche bataye hue steps ko follow karke Screen lock shortcut top menu me add kar sakte hai.
Step-:1 Iske sabse pahle aapko apne mobile ko on karna hai aur swipe down karke top shortcut ko open karna hai kuch mobile me swipe Up karne se shortcut khulta hai to is baat ka dhyan rakhe.
Step-:2 Jab aapke samne shortcut apps khul jate hai to yaha aapko ek pencil ya fir edit ka icon dikhega is par click kare.
Step-:3 Iske baad aapko bahut sari settings ke shortcut dikhaye jate hai yaha par aapko Screen lock wale option ko find karna hai.
Step-:4 Ab hame iske upar click karke hold karna hai aur drag karke upar wale shortcut menu me le jakar rakh dena hai.
Itna hone ke baad screen lock ka option shortcut menu me aa jata hai aur jab bhi aapko mobile off karna hai to shortcut menu me jaye aur is par click karke isse aapka mobile band ho jayega aur aapko power button baar baar nahi dabana padega aur wah lambe samay tak kharab nahi hoga.
Ab Shortcut menu wala yah tarika mobile off karne ke liye to achcha hai par aapko kabhi bhi mobile chalu karna hoga uske liye power button dabana hoga yah tarika to kaam nahi karega isliye is problem ke solution ke liye Mobile me double tap lock ka option bhi diya jata hai jiski madad se aap mobile ki screen par 2 baar tap karke mobile on aur off kar sakte hai. Chaliye ab hum double tap lock ko mobile me kaise lagaye iske bare me bhi jaan lete hai.
Mobile me double tap lock kaise lagaye Easy Steps
Double tap lock hamara dusra mathod hai aur yah pahle mathod se jyada achcha hai. Chaliye ab hum aapko double tap lock activate karne ki mathod batate hai.
Step-:1 Mobile me double tap lock lagane ke liye Phone ki main settings me chale jaye aur Display ya Lock Screen ka option find kare.
Step-:2 Jab aapko Yah option mil jaye to iske upar click kare isme bhi aapko bahut sare options dekhne ko milte hai jisme se ek Double Tap Lock ka option hota hai jo ki band hoga aap isko chalu kare.
Jaise hi aap is feature ko on karte hai to aapke mobile me double tap lock on ho jata hai. Ab jab bhi aap apne mobile ki home screen par double tap karte hai to mobile band ho jata hai aur vaise hi agar mobile band hai aur aap screen par 2 baar tap karte hai to mobile chalu ho jayega. Double tap lock ko is tarah se upyog kiya jata hai.
Note -: Aap double tap lock ko use karna chahte hai to aapko yah pata hona chahiye ki mobile home screen par double tap karne se yah feature kaam karega esa nahi ki aap koi app khole ke bethe hai aur screen par tap kar rahe hai to lock lag jayega yah keval home screen par kaam karta hai. Aapko double tap lock on karne ke baad jab bhi mobile band karna hai to pahle mobile ki home screen par chale jaye uske baad double tap kare taki aapka mobile band ho sake.
Mobile Power Button not working FAQs
Aapke dimag me kuch sawaal honge to chaliye aapko unka bhi jawaab dete hai.
Kya Double tap lock aur screen lock shortcut add karne ka option sabhi mobile me hota hai.
Nahi yah feature sabhi mobile me dekhne ko nahi milta hai par aap agar android phone chalate hai to usme yah option dekhne ko mil jata hai.
Kya is tarah se volume button ke liye feature hai.
Ha is tarah se aap volume button ko bhi screen par add kar sakte hai taki aapka volume button kaam karna band karde to shortcut menu me ise add kar sake.
Kya Is feature ka koi advantage hai.
Ha aapke mobile me jo buttons hote hai wah jyada samay tak chalte hai kyoki unka upyog bahut kam hota hai agar aap in features ka upyog karte hai to aapke mobile ke buttons me koi problem nahi hoti hai.
Kya computer ka password bhul jane par recover hote Kya Is feature me koi Disadvantage bhi hai.
Dekha jaye to is tarah se mobile ko on aur off karne me koi nuksan nahi hai aap in features ki madad se mobile ko band aur chalu kar sakte hai isme koi problem nahi hoti hai.
Dosto is tarah se aap Apne mobile ke power button ko kharab hone to bacha sakte hai iske sath agar mobile ka power button kharab ho jata hai to is post me bataye hue tricks ko follow karke bhi apne mobile ko bina power button ke bhi on aur off kar sakte hai. Aap apni jarurat ke hisab se koi bhi feature ka use kar sakte hai.
Conclusion
Finally Aaj humne mobile ke ek bahut achche feature ke bare me jana hai. Is post ko padhne ke baad aapko samajh aagya hoga ki mobile me double tap lock kaise lagana hai aur shortcut menu me screen lock option kaise add karte hai. Ab aap in features ko apne mobile me enable karke inka upyog kare aur agar kuch bhi problem hoti hai to hume comment karke jarur bataye taki hum aapki madad kar sake. Hum aage bhi aapko mobile me uplabdh esi settings ke bare me batane wale hai isliye aap jaldi se hamari website ko subscribe kar lijiye taki hum aapko latest update ki jankari sabse pahle de sake. Chaliye hum is post ko yahi khatam karte hai aur ek new post ke sath fir milenge abhi ke liye Good By.
Post a Comment