Mobile me Accessibility Menu Shortcut option on/off kaise kare

Aaj hum baat karne wale hai ki Mobile me Accessibility menu ya Accessibility option kya hota hai iska upyog kab karna hai aur isko chalu ya fir band kaise kare. Accessibility Menu ko Accessibility option ke naam se bhi jana jata hai. Aaj se kuch time Pahle mobile me niche 3 button hote the jisme back button, home button aur recent tab ka button hota tha lekin ab ek aur button hume mobile ke nevigation bar me dekhne ko mil jata hai. Yah button user ke emoji jaisa dikhta hai. Aap niche is image me bhi dekh sakte hai ki yah is user ki tarah yah dikhta hai aur ise hum Accessibility menu ya Accessibility option kahte hai. Yah Mobile me uplabdh ek advance feature hai par bahut sare log is feature ka upyog nahi karte hai kyoki unko iske bare me pata nahi hota hai par ab is post me hum aapko iske bare me sab kuch batane wale hai.
How to use accessibility menu in hindi
Ab aapke dimag me yah sawal aata hoga ki yah option ki kaam ka hai aur isse hume kya fayda hai to dosto hum aapko bata dete hai ki yah ek shortcut menu hai jiski madad se aap mobile ki bahut sari settings ko ek jagah se control kar sakte hai. Aap yaha se Apne mobile volume, power, lock screen, screen shot aur iske alawa bhi bahut kuch ek jagah se control kar sakte hai iska ek fayda yah bhi hai agar aapke mobile me koi button kaam nahi karta hai Ya fir volume button aur power button kharab ho jaye to aap Accessibility menu ki madad se bhi apna kaam chala sakte hai.
Yah feature hume mobile me isliye bhi diya jata hai ki hum iska upyog karke apne mobile ke buttons ko kharab hone se bacha sake kyoki button ko baar baar dabane se wah kharab ho jate hai isliye agar aap volume aur power button ki jagah par Accessibility menu se apni volume aur mobile power ko control karte hai to aapke mobile ke buttons bhi kabhi kharab nahi hone wale hai. Accessibility menu ka option hume kaha dekhne ko milta hai aur isko on ya off kaise karna hai iske bare me jaan lete hai.

Smartphone me Accessibility Menu Turn on/off kaise kare

Accessibility Menu ka option vaise to ab sabhi mobile me visible rahta hai par aapke mobile me yah option visible nahi hai ya fir visible hai aur aapko isko off karna hai to niche bataye hue sabhi steps achche se follow kare.

Step-:1 Hamara pahla kaam hai apne mobile ki main settings jana hai to sabse pahle aap apne mobile ki main settings me chale jaye.
main settings
Step-:2 Isme bahut sare options honge lekin aapko Additional Settings ka option find karna hai aur jab yah option mil jata hai to is par click kare.
Additional-setting
Step-:3 Additional Settings me bhi kuch options dekhne ko mil jate hai to isme aapko ek option Accessibility ka bhi dekhne ko mil jayega ise select kare.
Accessibility
Step-:4 Last me aapko fir kuch options dekhne ko milenge isme se aapko Accessibility Menu ka option select karna hai Yahi option hum find kar rahe the.
Accessibility shortcut
Step-:5 Finally aap agar is feature ko visible karna chahte hai to isko on kare aur agar aapko lagta hai ki yah option mere liya jyada usefull nahi hai to aap isko off kar sakte hai.
Accessibility menu feature
Dosto is tarah se Accessibility Menu ke option ko hum apne mobile me on aur off kar sakte hai. Aapko yah feature achcha lagta hai to is option ko on rahne de isse aapko mobile ki bahut sari settings ek jagah par dekhne ko mil jayegi aur aap usko control kar sakte hai par aapko lagata hai yah feature me liye upyogi nahi hai aur aapko screen par iska icon hide karna hai to aap isko off kar sakte hai isse aapke navigation bar se iska icon remove ho jata hai aur bar ke 3 button rah jate hai to yah aapki jarurat ke upar hai aap apne hisaab se is setting ko control kar sakte hai.

Accessibility Menu ke Advantage and Disadvantage

Accessibility Menu ek esa option hai jiska sahi use kiya jaye to bahut kamal ka option hai lekin kuch logo ko iski position se pareshani hoti hai kyoki iska icon menu bar me corner par hota hai aur is wajah se tiping karne me dikkat hoti hai Jab bhi hum kuch type karte hai apne mobile me to yah menu hamari hatheli se touch ho jata hai aur open ho jata hai. Yahi iski ek sabse badi problem hai aur yahi iska ek disadvantage bhi hai iske alawa is feature ka use karne me koi aur problem nahi hai.
Ab agar advantage ki baat kare to wo sab to aapko hum is post me bata chuke hai aap iski madad se apne mobile ki bahut sari settings ek jagah se control kar sakte hai. Hum is feature ke fayde aur nuksan to hum bata chuke hai to chaliye ab hum aapko is option se related kuch FAQs bhi bata dete hai.

Accessibility Menu FAQs

Kya Accessibility Menu ka feature sabhi mobile me hota hai.

Nahi Accessibility menu ka feature hume smartphone me dekhne ko milta hai sabhi mobile me iska option nahi hota hai.

Accessibility Menu se hum mobile ki kis setting ko control kar sakte hai.

Is feature ki madad se mobile ki basic settings ko hum ek jagah se aasani se control kar sakte hai.

Kya Accessibility menu ko hum kabhi bhi on aur off kar sakte hai.

Conclusion

Finally yah post yaha par pura ho gaya hai hum lagbhag sab kuch cover kar chuke hai is post me lekin aapka koi aur sawaal hai aap comment karke ya fir direct message karke bhi humse puch sakte hai hum aapko puri jankari denge. Dosto Accessibility Menu ke bare me to hum jaan chuke hai aur aage bhi aapko ek hi kamal ke post ke bare me batate rahenge. Ab aapka kaam hai ki hamari post ko jyada se jyada share karna aur hamari website ko subscribe karna taki aapko aage bhi ese kamaal ke post ki jankari email ki madad se milti rahe. Chaliye ab hum aapko kal ek aur new post ke sath milenge tab tak ke liye good by.

Post a Comment

Previous Post Next Post