Type Here to Get Search Results !

Windows Computer me google Account [Gmail ID] kaise banaye

Computer me google account kaise banaye yah hamara sawaal hai aur iska jawaab aaj hum is post me aapko dene wale hai. Aap internet chalate hai to aapke liye gmail id ya google account bahut jaruri hota hai. Internet par lagbhag aapko har jagah Gmail Account ki jarurat padhti hai. Aap koi application ka upyog karte hai ya fir koi bhi website puri tarah se use karna chahte hai to aapko gmail account ka upyog karna hi padhta hai iske alawa kuch ese platform hai jaha par google account Necessary hota hai aur iske bina aap wah platform upyog nahi kar sakte hai. Yahi nahi ab to agar aap school aur collage me padhte hai yani ki aap ek student hai to aapke liye google account ka hona compulsory hota hai.
Google Account kaise banaye
email account banane ke liye bahut Sare platform hote hai jisme Yahoo bing aur Google Jaise platform sabse best hote hai lekin in tino bhi bhi agar hum baat kare to Google par gmail id banana hi Hamare liye sabse best hai Kyuki Google ki madad se aap Gmail account to bana hi sakte hai aur iske sath Google ke sabhi product ka bhi upyog kar sakte hai itna hi nahi isme aapko bahut Sare option dekhne ko Milte hai jo dusre platform par account banane par nahi Milte hai man isliye Agar aapke pass Android mobile hai Google account bhi banana Padega. Hum sabse pahle yah samajh lete hai ki google account kya hota hai aur baad hum google account (gmail id) banane ke bare me janenge.
{getToc} $title={Table of Contents}

Google Account/Gmail ID kya hoti hai Jane

Real life me hamare pass apni pahchan ke liye bahut sari ID Hoti Hai jisme photo ID card, Aadhar card, pan card, Jaisi chije hoti hai theek Usi Tarah se internet ki Duniya Me hamare pass ek Virtual ID hoti hai Jaise ham email id ya email account Kahate Hai aur is email account ki madad se hi internet per hamari pahchan hoti hai to email account banane ke liye sabse Achcha platform Google hai aur google ki madad se banaye gaye email account ko hum google account ya gmail id bolte hai.
Aaj hum Google par Apna Gmail account Banane Wale Hai taki aap google ke jitne bhi product hai aur service Hai Unka upyog kar sake Kyunki google ki services ka use karne ke liye Hame Google account ki jarurat padati hai to Chaliye ab hum Google account kaise banaye Iske bare me jaan lete hai.

Computer me aasani se google account kaise banaye

Dosto Computer me google account create karne se pahle aapko ek baat clear kar dete hai ki aap google account ya gmail id mobile se banaye ya fir computer se isme koi fark nahi hota hai dono ki process same hoti hai aur aapki gmail id bhi ban jati hai isliye agar aapke paas computer ya laptop nahi hai to fir aap apne mobile se bhi isi step ko follow kare isse bhi aapka google account ban jayega. Gmail Account banane ke liye aapko ek chalu mobile number aur internet ki jarurat hoti hai agar aapke paas yah dono hai to aapka google account ban jayega. To chaliye ab hum step by step google account/gmail id banane ki process ko dekh lete hai.

Step-:1 Apne Widows computer ya fir mobile jo bhi aapke paas available hai usme koi browser khole aur browser me niche diye hue link ko open kare.
Step-:2 Link open hone ke baad me ek page khul jayega yah google account me log in karne ka page hai yaha par aapko ek option dekhne ko milega Create Account aap is option par click kare fir ek popup box khulega isme For myself ko select kare jaisa ki niche image me dikhaya gaya hai.
create account for myself
Step-:3 Gmail account banane ke liye ek basic information ka form khul jayega to aapko yah form bharna padega isme apna Naam, Last Name (Surname) uske baad ek unique username, Password dalna hoga. Form bharne ke baad Last me Next par click kare.
create your account google account
Step-:4 Ab aapke samne ek aur page khulega isme aapko phone number dalna hai us par ek otp code aayega.
Add-and-verify-phone-number
Step-:5 Aap jo phone number dalte hai uske sms me check kare usme ek otp message hoga wah otp copy karke yaha par dale aur Verify par click kare.
verify number
Step-:6 Ek chota sa form fir khulega isko bhi fill karna hoga isme aapko apni date of birth aur apna gender dalna hai aur next par click karna hoga.
add date of birth
Step-:7 Hamara kaam lagbhag pura ho gaya hai aur next par click karte hi ek page khul jayega yaha par Yes I'am in ka button dikhega is par click kare.
get more gmaill info
Step-:8 Final step me aapko google account ki privacy policy dikhai jayegi aapko I agree par click karna hai aur aap apne gmail id me enter ho jayenge aapke samne aapka google account khul jayega.
I agree gmail privacy
Dosto humne Apna sara kam khatm kar liya hai aur hamara Google account ready ho chuka hai ab aap is Google account ya Gmail account ko apni jarurat ke hisab se Kahi par bhi upyog me le sakte hai Google account banane ke liye humne Sabhi steps acche se bataye hai par Fir Bhi aapko Kahi par bhi Kuch pareshani hoti hai to ham aapke liye available hai aap comment Karke hume apni problem bata sakte hai.

Google Account/Gmail ID se related FAQs

Computer me Gmail account se banane se related aapke Kuch Sawal jarur honge jinka jawab hum aapko abhi dene wale hai.
Gmail Account me log in kaise kare.

Gmail.com par chale jaye aur apna id password daal kar aasani se log in kar sakte hai.

Google account ka password bhul jaye to kya kare.

Aap apne password reset karke new password bana sakte hai.

Google Account mobile me bana sakte hai.

Ha bilkul aap mobile me bhi isi tarah se google account bana sakte hai.

Kya google Account me hum apni detail change kar sakte hai.

Aap apne google account ki detail kabhi bhi change kar sakte hai.

Conclusion

Aaj Humne computer me Gmail account kaise banaen Iske bare me bhi Jana aur Google account ya Gmail account se related bahut sari Jankari Humne aapke sath share ki aapki Bari hai ki aap Hamari mehnat ke liye is post ko Jyada Se Jyada Logo tak share Karen Taki dusre log bhi hamari website per visit Kare aur unko bhi computer se related problem ka solution mil sake to Chaliye doston aaj ka post Ham Yahi khatm Karte Hain aur Aapko Hamari yah Jankari kaise lagi hai Iske bare mein aap comment Karke Hamen bata sakte hain Kyunki aapka comment Hamen Roj new content likhane ke liye motivate Bhi Karega to ab Ham aapse kal new post aur news Jankari ke sath Milenge tab tak ke liye good bye.
Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.