Mobile me Typing Speed kaise badhaye/Ya Improve kare

To kaise hai aap log aaj hum baat karne wale hai Apne Mobile ke keyboard me typing speed Improve kaise kare. Hum log aaj ke samay sabse jyada agar kisi device ka upyog karte hai to wah mobile hai. Pahle ke mobile me typing karne ke liye 0 se 9 tak buttons hote the aur * aur # inki madad se emojis bheje jate the par ab chije badal gayi hai aur ab sabke paas smart phones hote hai aur in mobile phone me jo keyboard hume diya jata hai uski hum Qwerty Keyboard kaha jata hai jaha par sabhi alphabets sequence me nahi hote hai balki sab idhar udhar hote hai. Yah Keyboard hone ki wajah se bahut logo ko type karne me pareshani hoti hai.
Mobile typing improve karne ka tarika
Qwerty Keyboard me agar koi vyakti pahli baar type karega to usko badi pareshani hoti hai lekin agar hum lagatar is keyboard me typing karte hai to hame iski aadat hone lagti hai. Ab agar aapne abhi abhi button wale mobile se touch screen wale mobile par shifting ki hai to aapko shuru me typing karne me bahut problem hone wali hai. Me apni hi baat batata hu jab mene pahli baar is keyboard me type kiya tha apne mobile me to mujhe sirf apna naam likhne me 1 minute ka samay lag gaya tha lekin baad me iski aadat padi aur fir ab mobile me typing speed me bahut improvement ho gaya hai. Hum aapko kuch ese tips bata rahe hai jiski madad se aapko mobile me fast typing karne me madad milegi.

Mobile me Typing speed improve kaise kare Best Tarike

Aapko sabse pahle yah samjhna hoga ki Mobile me typing speed ko badhane ke liye koi shortcut nahi hota hai. Aapko samay to lagega par aapko mobile typing ke kuch rules aur tips jo hum bata rahe hai aap inko dhyan me rakh kar bahut kam samay me mobile typing skill bahut improve kar sakte hai.

1. Daily Mobile Typing practice karna

Ab agar mobile ho computer ho ya fir koi typewriter kyo na ho aapki typing skill tab tak improve nahi hogi jab tak ki aap daily practice nahi karte hai. Isliye agar aap chahte hai ki mobile me typing speed improve ho to iske liye aapko daily apne mobile me typing karna hogi. Aapke liye sabse achcha yahi rahega ki aap koi paragraph chune aur usko mobile me kisi note pad me type kare esa aapko roj karna hoga aap koi kahani bhi type kar sakte hai aur notepad aapko play store par mil jayenge waha se apni pasand ka koi bhi notepad install kar sakte hai.

2. Perfect Mobile keyboard ka upyog karna

Ab is baat par to bahut sare log dhyan nahi dete hai ki jo mobile keyboard aap upyog kar rahe hai wah aapko type karne ke liye comfortable hai ya nahi jyada tar log wahi keyboard upyog karte hai jo mobile default hota hai par aapko koi achcha keyboard upyog karna chahiye. Aap Go keyboard, google keyboard, Swift keyboard aur G board jaise keyboard ka upyog kar sakte hai. Yah sab keyboard kuch extra features ke sath aate hai jo aapko mobile typing speed improve karne me madad karte hai. Isliye ab aap koi esa keyboard chune aapko upyog karne me aasan lagta hai.

3. Voice typing upyog nahi karna

"No use of Voice Typing" dosto aap bilkul sahi padh rahe hai vaise to voice typing ek bahut kamal ka feature hai aapko bolna hai aur wah type ho jata hai. Lekin aap agar apni mobile typing speed improve karna chahte hai to aapko kuch samay ke liye voice typing band karna hogi.
No voice typing
Aapko kuch bhi type karna hai mobile me to wah aap keyboard me likh kar type karenge. Isse aapki typing speed me bahut jaldi aapko fark dekhne ko milega aur mobile typing speed improve hone lag jayegi.

4. Keyboard me dekhe bina typing karna

Ab aap yah soch rahe honge ki yah kaise posible hai ki bina dekhe type karna. Ise Blind typing kahte hai. Dosto aap sahi soch rahe hai ki bina dekhe type nahi kiya ja sakta hai par agar hum esa karte hai to hume yah yaad rahne lag jata hai ki kon si  key kaha par hai aur key ke bich kitna difference hai.
Blind typing
Yah jaruri nahi hai ki aap bina dekhe type kar paoge lekin jab aap bina dekhe thoda bahut bhi sahi type karte hai to yah ek bahut bada achievement hota hai Kyoki yah hone baad aap dekh kar jab bhi type karte hai to aap bilkul expert ki tarah type karte hai. Isliye aap bina dekhe type karne ki koshish jarur kare isse aapko bahut fayda hoga.

5. Keyboard me alphabets ki position yaad karna

Last me hum aapko ek aur tip denge isme aapko keyboard me jo alphabets hai unki position yaad karna hogi. Jaisa ki aapko pata hoga ki mobile keyboard me A-Z tak 26 alphabets hote hai jo mobile ke Qwerty keyboard me kahi par bhi hote hai. Yaha aapko sabhi alphabets ki position yaad karna hoti hai. Kahne ka matlab hai aapko kisi ne koi word type karne ko bola to aapko word me use hone wale alphabets ko dhundhne ki jarurat nahi pade aapko a se z tak sabhi alphabets ki position yaad karna hogi. Aapko is kaam me jyada se jyada 1 hafta lag sakta hai par jab aap sabhi keys ki position yaad kar lete hai to fir aapko mobile me fast typing karne se koi nahi rok sakta hai.
Read Latest Articles -:
Mobile me typing karne ke liye yah bahut achche tips hai aapko hamare bataye hue tips follow karna hai iske alawa aapko kuch aur tips follow karne ki jarurat nahi hai. Bas typing karte samay hamare bataye hue tips aapko mobile me fast typing karne me bahut madad karegi. Dosto hum aapko yahi bolenge ki yah sab 1 din me nahi hoga isme thoda samay jarur lagega par aapki mobile me typing ki speed daily improve hogi. Aapko mobile typing se related koi bhi problem hoti hai to hume uske bare me jarur bataye hum aapki madad karenge.
Ab aapki bari hai dosto aap jaldi se ek achcha sa comment kare aur hume bataye ki aapko hamara post kaisa laga hai hum aapko typing se related aur bhi jankari aane wale samay me dene wale hai aur is post ko apne dosto ke sath bhi share kare taki jis bhi vyakti ko typing karne me problem hoti hai wah bhi apni typing speed ko behtar kar sake aur usko bhi mobile me typing karne me jyada pareshani naa ho. Aaj ka hamara post yahi par khatam hota hai aur hum ummid karte hai ki aapko mobile me fast typing karne me madad milegi aur type karne ki skill bhi improve hogi.

Post a Comment

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post