Type Here to Get Search Results !

Memory Card [Pendrive] kharab ho gaya hai? to thik kaise kare

Aaj hum aapko ek bahut kamaal ki trick batane wale hai hamara aaj ka sawaal hai Pendrive/Memory card kharab hone par thik kaise kare ? Hum jante hai ki yah post aapke liye bahut faydemand hoga aur aap iske bare me janne ke liye bahut exited bhi honge. Isliye to hum yah post likh rahe hai taki aapko memory card ya fir pendrive corrupt hone par usko thik kaise karna hai iske bare me puri jakari de sake. Jaisa ki aap yah to jante hi honge ki aap pendrive aur memory card dono storage device hai aur inka upyog computer ya mobile me alag se storage badhane ke liye ya fir data ko ek jagah se dusri jagah par transfer karne me kar sakte hai.
corrupt pendrive kaise thik kare
Ab samay ke sath har chij me kuch to pareshani aati hai lekin har problem ka solution bhi hota hai ab agar aapka pendrive ya fir memory card kaam karna band kar deta hai to aap kya sochenge ki wah kharab ho gaya hai aur shayad usko dustbin me daal denge lekin hum aapko batate hai Pendrive ya memory card tab tak kharab nahi hote hai jab tak inki chip crack nahi hoti hai. Aap dekhenge ki in par ek chip laga hota hai aur agar wah sahi hai aur aapka pendrive ya memory card kaam nahi kar raha hai to tension lene ki jarurat nahi hai memory ki chip sahi hai uske upar koi crack bhi nahi to iske pure chance hai ki aap apne memory card ko fir se thik kar sakte hai.

Memory Card/ Pendrive Kharab kaise hota hai.

Aapka Memory card ya pendrive kharab nahi hota hai balki usme koi virus aata hai ya fir wah corrupt ho jata hai jiski wajah se kai baar hamara pendrive kaam karna band kar deta hai. Ab ese me aapko Pendrive ya memory card ko thik karne ke liye inhe format karna hota hai. Uske baad yah fir se kaam karne lag jate hai. Hum inhe esi problem hone par to thik kar sakte hai par agar memory par laga chip tut jaye ya fir aapka pendrive crack ho jata hai to ese me hum usko thik nahi kar sakte hai par agar virus hai ya corrupt ho gaya to is device ko thik kar sakte hai. Chaliye ab hum aapko inhe Thik karne ke bare me batate hai.

Memory card ya pendrive kharab hone par thik kaise kare

Aapko yah problem ho rahi hai to iske liye ek bahut achcha solution hai aur iske liye aapko computer ya laptop ki jarurat padegi. Corrupt Pendrive/memory card thik karne ke liye aap niche bataye hue steps follow kare.

Step-:1 Memory card ya fir pendrive ko thik karna chahte hai to sabse pahle inhe apne computer ya laptop me lagaye.

Step-:2 Fir Windows button press karke search box me CMD type kare isse aap samne cmd aayega to uske upar right click karke Run as Administer par click kare. Isse aapke samne CMD khul jayega.
CMD comand Promt
Step-:3 CMD box me Diskpart type karke enter dabaye fir List Disk type karke Enter press kare.
CMD comand Promt
Step-:4 Yah karne ke baad me aapko Computer ya Laptop ke storage device dikhaye jate hai Yaha par hume Disk 0 aur Disk 1 yah options dekhne ko milte hai. 
Disk storage
Generally Disk 0 Hard disk hoti hai to aapko ise nahi chunna hai. Aapko Disk 1 jo ki aapka memory card ya pendrive hoga to aap is par click karke Enter karde.
Note -: Aap storage dekh kar samajh sakte hai ki aapko disk 0 chunna hai ya fir disk 1 agar aapka pendrive 16 gb ka hua to disk 1 ke samne 16 gb likh hoga. Dhyan rakh ki aap apni hard disk na chun le nahi to wah format ho jayegi isliye yah steps achche se follow kare.
Step-:5 Abhi hamara kaam khatam nahi hua hai ab Aapko cmd box me Clean likhna hai fir enter badaye uske baad Create Partition Primary likh kar Enter kar kare and again Select Partition 1 type karke Enter press kare.

Step-:6 Yaha aapko dhyan dena hai agar Pendrive ko thik kar rahe hai to fs=htfs type karke enter karna hai.
  1. For Pendrive -: Fs=htfs
  2. Memory Card -: Fs=Fat32
Wahi par agar memory card ko thik karne ki koshish kar rahe hai to fs=fat32 type karke enter press kare.

Step-:8 Last me Active type karke enter kare aur fir Assign likhe aur ek baar fir enter press kare.
Hamara kaam ho chuka hai Aap chahe to cmd box ko close kar sakte hai. Boom ! Guy Ab aap apne memory card ya pendrive ko check karke dekh sakte hai. Aapka storage device format ho jayega aur usme agar koi virus hoga ya kuch bhi problem ho to wah thik ho jayegi and aapka Memory card ya pendrive jisko bhi aapne thik kiya hai wah fir se kaam karne lagega. Ab kabhi bhi aapka pendrive agar kaam karna band karde to to usko fekne se pahle dekh ki usme koi crack to nahi hai aur agar kahi koi problem nahi to aap hamara bataya hua tarika upyog kare isse aapka pendrive ho ya fir memory card ho dono thik ho jayenge.
Aap yah sabhi chije achche se follow kare aur hamare bataye hue tips ka upyog karke aap apne corrupt ya fir kharab ho chuke memory card ya pendrive ko thik kar sakte hai.

Memory Card kharab hone se related FAQs

Aapke kuch sawaal jarur honge to uske jawab bhi hum aapko dene wale hai aur iske baad bhi aapko kuch aur puchna hai to comment karke puch sakte hai.
Memory Card ya Pendrive ki koi age hoti hai.

Memory Card ya pendrive ki koi age nahi hoti hai yah salo saal bhi chal jati hai aur 2 din me kharab bhi ho jati hai.

Crack Memory card ya pendrive thik ho sakti hai.

Agar aapke memory card ya pendrive ki chip par crack ho gaya hai to fir wah kabhi thik nahi hoti hai aur uska koi upyog nahi kiya ja sakta hai.

Kya Kharab memory card ya pendrive thik ho sakti hai.

Ha agar aapka memory card ya pendrive crack nahi hua hai to usko thik kiya ja sakta hai aur apne storage device ko thik karne ke liye aap yah post padhe isme hum puri jankari de chuke hai.

Conclusion

Dosto aaj humne ek bahut kamal ki chij sikhi hai ummid hai aapko bhi aaj is post me yah jankari padh kar achcha laga hoga. Ab jab bhi aapka koi bhi storage device (Pen Drive, Memory Card) kharab ho jaye to usko fekne ki jagah par aapko usko sahi karne ki koshish kare aur kuch problem ho to uski jankari aap hume de sakte hai taki hum aapki madad kar sake. Dosto hum ummid karte hai ki aapko Corrupt memory ya pendrive ko thik karne ki yah trick achchi lagi hogi. Ab aapki bari hai hamari post ko jyada se jyada logo tak share kare aur ese hi post roj padhne ke liye hamari website ko subscribe kare.
Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.