Ab agar aap bhi unhi me se ek hai aur aapko bhi This copy of windows is not genuine ka message dikh raha hai to aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai kyoki hum aapko batayenge ki is error ko thik kaise karte hai. Ab agar dekha jaye to iski wajah se hume computer chalane me koi pareshani nahi hoti hai yah Message sirf screen par dikhaya jata hai aur message hume apni computer screen par tab dikhaya jata hai jab hamara windows original nahi hota hai. Ab windows screen se is error message ko kaise hatana hai iske bare me hum jaan lete hai.
2 Way to Fix This copy of Windows is not genuine Error in hindi
Agar aapko is error ko fix karna hai to iske liye hum aapko 2 mathod bata rahe hai aap inhe try kare aapka kaam ho jayega. Chaliye ab hum sabse pahla mathod jaan lete hai.
Mathod -: 1
Step-:1 Aapko Apne pc me Windows Key + S ko dabana hai isse aapke samne search box khul jayega.
Step-:2 Isme aapko CMD likh kar Command Prompt wale option par right click karna hai aur run as administer wala option chunna hai.
Step-:3 Yaha aapko SLMGR/REARM ya fir SLMGR-REARM do me se kuch bhi type karke Enter dabana hai.
Step-:4 Aapke samne "Command Completed Successfully" ka message dikhega aur computer ko restart karne ke liye bola jayega.
Step-:5 Aap apne system ko restart kare aur jaise hi aapka computer ya laptop restart ho jayega to aap dekhenge ki aap windows is not genuine ka message hat jayega.
Dosto yah to ek tarika tha par agar aapke liye kisi wajah se yah mathod kaam nahi karta hai to aap dusra tarika bhi try kar sakte hai to chaliye hum aapko second mathod bata dete hai.
Mathod -: 2
Dusri Trick me hum Control Panel ka upyog karne wale hai aapko control panel ke bare me janna hai to is post ko padhe.
Control Panel kya hota hai.
Chaliye Control panel ki madad se is error ko fix kaise karte hai iske baare me jaan lete hai.
Step-:1 Sabse pahle aap Windows Key + S daba kar control panel search karke control panel ko open kare.
Step-:2 Yaha par bahut sare option hote hai isme aapko Program and features wale option ko chunna hai.
Step-:3 Isme aapko left side me View Installed Updates ka option dekhne ko milega is par click kare.
Step-:4 Yaha par aap is update ko dhundhe. KB971033 Jab aapko yah update mil jaye to is par right click karke uninstall ke option par click kare.
Step-:5 Jab yah uninstall hoga tab aapke computer se Windows is not genuine ka error hat jayega. Yaha par aapko dono tarike bata diye hai inki madad se aap apni is samsya ko solve kar sakte hai.
Finally This copy of windows is not genuine message ya error ko fix karne ke yahi tarike hai jo humne aapko bataye hai Yah koi mushkil kaam nahi aap ise try kare aur kuch samjh nahi aaye to hume bataye. Ab aap bhi jaldi se inhe try kare aur apni windows screen se is message ko remove kare. Hamare bataye hue tarike agar aapke liye kaam nahi karte hai to aap iski jankari hume jarur de taaki hum aapko is error message ko hatane ke liye koi aur trick ke bare me bata sake. Dekha jaye to aapko koi problem nahi hogi upar bataye hue mathod aapke liye 100% work karenge aur aapka kaam ho jayega.
Aaj humne windows screen par aane wale error message ko hatane ke bare me sikha. Agar kabhi bhi aapko This copy of windows is not genuine ka message aata hai to hamari post ki madad se thik kar sakte hai. Aap ese hi computer ke bare me aur kuch janna chahte hai to hamari website ke sath jude rahe kyoki hum computer ke bare me article likh kar aapke liye jankari lekar aate rahte hai. Filhaal hum is post ko yahi par khatm karte hai aur last me aapko yahi kahenge ki aapko hamare post achche lage hai to jaldi se hamari website ko subscribe kare isse yah hoga ki jab bhi hum computer se related koi post likhte hai to aapke paas uski jankari email ki madad se pahuch jayegi.