Hum aapke samne Aaj fir se kuch new lekar aaye hai. Jaisa ki hum aapko pahle bata chuke hai ki computer me security lock kaise lagate hai par aaj hum kisi bhi windows computer me agar password laga chuke hai to usko kaise hatana hai iske bare me baat karne hai. Vaise dekha jaye to computer ya laptop par password laga hona chahiye par us password ko remove kaise karna hai iski bhi jankari hume hona chahiye. Isliye hum is post ko aapke liye lekar aaye hai Taki aapko bata sake ki computer par laga hua screen lock kaise hataya jata hai.
Computer sabhi upyog kar rahe hai aaj ke samay me to aur isliye har vyakti ko computer ki basic jankari hona chahiye aur windows computer par password lagana aur password hatana yah bhi ek basic chij hai jiske bare me aapko pata hona chahiye. Hum aapko jo process bata rahe hai wah sabhi company ke computer ya laptop ke liye kaam karti hai. Ab Password hatane ki process bhi bilkul vaisi hoti jis tarah se password lagane ki hoti hai to ab is post ko jyada lamba khichne ka koi matlab nahi hum sidhe wahi baat karte hai jiske liye yah post padh rahe hai to chaliye jante hai ki Computer par laga hua password kaise hataye ya remove kare.
Computer/Laptop par laga hua screen lock (Password) kaise hataye
Dosto kisi bhi computer se screen lock hatana bahut aasan hai aur agar aapko computer me password lagana aata hai to aapke liye to yah bada aasan hai kyoki jis tarah se laptop ya computer par password set kiya jata hai thik usi tarah se computer se password ko hataya jata hai. Hum aapko ise easy word me bata rahe hai isliye aap niche bataye hue steps ko follow kare.
Step-:1 Aapka sabse pahla kaam hai apne laptop/computer ko chalu kare aur agar computer par password laga hai to usko daal kar computer ko open kare.
Step-:2 Ab aap windows button press kare aur yaha search box me Control Panel likh kar search kare.
Step-:3 Control panel me jaye aur yaha par aapko User Accounts ka option dekhne ko milega isme chale jaye.
Step-:4 Aapko kuch options milte hai yaha aapko Change your account type wale option par click karna hai.
Step-:5 Aapne jitne bhi apne user account banaye honge wah dikhenge isme wo account chune jiska upyog aap kar rahe hai.
Step-:6 User Account chunne ke baad aapko kuch options dekhne ko milenge to yaha se aap change the password par click kare.
Step-:7 Now aapko 4 box dikhenge to first box me aapko apna current password dalna hai aur bache hue box ko khali rahne dena hai aur change password par click karna hai.
Ab humne koi bhi new paasword nahi dala tha humne box khali rakha tha isliye ab aapke laptop ya computer par koi password nahi rahega aur is tarah se aap Windows computer ya laptop ka password hata sakte hai. Yah password hatane ke liye sabse aasan tarika hai iske alawa bhi kuch tarike hote hai jiski madad se password ko hata sakte hai unke bare me hum aapko aane wali post me batayenge. Filhaal aap is mathod ko try karke apne laptop se password hata sakte hai aur kuch problem hogi to uske liye hum yaha par hai.
Dosto yahi kuch aasan se steps ko follow karke aap apne Windows ya fir kisi bhi company ke laptop/computer se password hata sakte hai. Ab aap bhi jaye aur isko try kare aur agar koi bhi vyakti apne computer ka password hatana chahta hai to use hamari website ke bare me bataye aur is post ko read karne ka bole.
Note -: Yaha par hum aapko ek baat bata dete hai ki agar aapke computer par password laga hua hai aur aap usko bhul gaye hai yani ki aap apna computer khol nahi sakte hai kyoki aapko password nahi hai to iske liye bhi ek mathod hai jiski madad se aap apne locked computer ko bhi khol sakte hai par iske liye thoda time lagta hai aur aapko alag se kuch Proccess karna hota hai aur agar aapko computer ka paasword bhul jane ke baad paasword hatane ke bare me janna hai to aap comment karke hume bataye taki hum ek alag se post likh kar aapke liye lekar aaye.
Dosto aaj humne sikha hai ki computer se password remove kaise kare ya hum kah sakte hai ki computer par laga hua password kaise hataye. To dosto ab aapki bari hai jaldi se is mathod ko try kare aur uske baad comment karke post ke bare me bhi hume bataye hum aapke liye ese computer se related aur post lekar aane wale hai isliye aap hum message karke yah jarur bataye ki aapko hamari post achchi lag rahi hai ki nahi aur aage aap kya janna chahte jis par hum articles likh sake iske bare me bhi hum jarur bataye. Hamara computer se password hatane ka post yahi par khatam hota hai ab hum aapko new post ke sath jald milenge.
Post a Comment