Computer me Control Panel [C Panel] kya hai ? Puri jankari

Aaj hum Computer me use hone wale control panel ke bare me baat karne wale hai. Jitne bhi log computer ka upyog karte hai unko control panel ke bare me pata hota hai par Control panel kya hai aur iska upyog kaise aur kab kiya jata hai iske bare me jyada logo ko pata nahi hota hai. Dosto isliye hum yah post likh rahe hai aaj hum control panel ke bare me puri detail janne wale hai Aap me se bahut sare logo ko yah nahi pata hoga ki computer me control panel hi wah jagah se jaha se hum Computer ki bahut sari settings ko control kar sakte hai Aapke mouse me koi problem hai keyboard ya fir CPU me bhi koi samasya aati hai to usko control panel me jakar hi thik kiya jata hai.
Control panel in hindi
Yahi nahi Aapka laptop ya computer jo bhi aapke paas hai uski puri detail jaise ki wah kis saal ka model hai usme kya features hai aapke pc ka version konsa hai aur isme kon si windows ko dala gaya hai yah sab aapko C Panel me dekhne ko mil jata hai aur aaj hum aapko Control Panel ke bare me puri jankari dene wale hai to yah post thoda bada hone wala hai isliye aap isko pura padhe kyoki iske baad aapko Control panel ki puri jankari ho jayegi. Hum ek-ek karke control panel ke sabhi topic cover kar lete hai to sabse pahle iski defination ko samajh kar jaan lete hai ki control panel kya hota hai.
{getToc} $title={Table of Contents}

C Panel [Control Panel] kya hai ? in hindi

Control Panel bahut sare program ka ek samuh hota hai ya hum is tarah se kah sakte hai ki Control panel computer me ek esa system hota hai jiski madad se computer ke sabhi system ko control kiya ja sakta hai. Control panel ki madad se User and Account setting, Font Setting, Internet settings, System and security settings aur Hardware jaise Mouse, Keyboard aur bhi bahut sari chijo ko aap control panel ki madad se control bhi kar sakte hai aur unki setting me changes bhi kar sakte hai. Aapko apne computer me password lagana ho koi account remove karna ho ya fir Computer ki display se related koi kaam karna hai to aap control panel me jakar hi changes karna hoga kyoki yah sab option aapko control panel me dekhne ko milte hai. Hum ummid karte hai ki aapko control panel ke bare me samajh aagya hoga aur ab hum control panel ka option kaha hota hai isme kaise enter karte hai iske bare me jaan lete hai.

Computer ke Control Panel me kaise jaye

Computer me control panel me janae ke 2 tarike hote hai hum aapko dono bata rahe hai aap apni pasand se jaise chahe vaise Control Panel me ja sakte hai.

Method -: 1

1.) Aapko sabse pahle Windows button ko press karna hai joki keyboard me hota hai ise dabaye.
enter in control panel
2.) Iske baad ek search box khul jata hai yaha par aapko Control Panel Likh kar search karna hai isse C Panel ka option aapko dikhega is par click kare aur aapke samne computer me control panel khul jayega.

Method -: 2

Yah bhi bahut simple tarika hai isme aapko Windows+R key ko dabana hai isse isse aapke samne ek popup box khul jayega jise Run Command kahte hai isme aapko Control Panel likh kar Enter press karna hai aur is tarah se bhi aapke pc me control panel khul jayega.
Yah 2 aasan se tarike hai jiski madad se hum control panel me ja sakte hai chaliye ab hum aapko iske kuch important functions aur features ke bare me bhi bata dete hai.

Control Panel Function & Features

Control panel me bahut sare functions aur features dekhne ko mil jate hai par hum aapko yaha par jo khas features hai jinka jyada use hota hai unke bare me bata rahe hai kyoki agar sabhi features ke bare me batane jayenge to yah post bahut jyada badha ho jayega to chaliye C Panel ke features ke bare me jante hai.

Device Manager

Device manager ka use hum hardware aur software ko jodne ke liye karte hai jaise ki mouse aur keyboard ko apne computer se jodne ka kaam isi ki madad se kiya jata hai. Control panel ke is feature me aapko computer ke sabhi hardware ki jankari mil jati hai aur yaha se aap unhe control bhi kar sakte hai iske alawa hardware sahi se kaam kar raha hai ya nahi yah bhi pata kar sakte hai kahne ka matlab hai ki aap unki setting me changes karna chahte hai to aapko device manager me iska option dekhne ko mil jata hai.

Display and Personalization

Control Panel ke is feature me hum computer ki screen ko control kar sakte hai jaise ki dark mode set karna hai to uska option yahi milega screen rotate karna hai resolution setting ya fir screen ki size me changes karna hai to hume yahi par iska option dekhne ko mil jayega. Aap Pc ki home screen ya wallpaper bhi yaha se set kar sakte hai aur display ka sleep time bhi yaha se adjust kar sakte hai.

Mouse

Agar aapke paas laptop hai to usme mouse pad hota hai par wah kai baar kaam karna band kar deta hai ya aap computer se jo mouse connect hai uski movement speed ko increase ya fir decrease karna chahte hai to control panel me mouse function me aapko mouse se related sabhi tarah ki settings dekhne ko mil jati hai aur yaha se aap apni jarurat ke hisab se sab kuch set kar sakte hai.

Keyboard

Dekha jaye to keyboard me koi changes karne ki jarurat nahi hoti hai aapka keyboard wireless ho ya fir wired wala ho aapko jyada option keyboard ke liye control panel me dekhne ko nahi milenge fir bhi control panel me iska option dekhne ko mil jata hai jaha se hum repeat speed ko control kar sakte hai iske alawa aur kuch option bhi nahi hota hai. Keyboard me agar koi key kaam nahi karti hai to usko aap control panel se thik nahi kar sakte hai.

Fonts and Character

Ab bahut sare log hai jo apne computer me apni pasand ke fonts ko rakhna chahte hai kuch logo ko fancy to wahi kuch ko stylish font rakhna pasand hai ese me control panel me font me jakar aap apne hisab se aur apni pasand ka font select kar sakte hai. Sirf itna hi nahi aap font ko install karke apni pasand ke font bhi computer me add kar sakte hai aur koi bhi font delete kar sakte hai.

File Explorer and Folder Options

Hamare computer me bahut sare jaruri data hota hai jise hum dusro ke sath share nahi kar sakte hai isliye hume apne kuch data ko hide bhi karna padta hai aur file and folder ko hide karne ke liye control panel me yah option dekhne ko mil jata hai. Aap apne file aur folder ki settings me bhi badlaav kar sakte hai jaise ki aap folder ko single click me kholna chahte hai ya fir double click me yah bhi is feature ki madad se control kar sakte hai.

Sound and Speaker Options

Yah control panel ka ek esa feature hai jiski madad se aap apne computer aur laptop ke sabhi sound ko control kar sakte hai. Aapko computer me audio record karna hai to wah bhi yahi se hoga aur aap apne speaker se sound ko isi feature ki madad se control kar sakte hai. Aap yah bhi set kar sakte hai ki kis software ka sound kitna rahana hai aur master sound kitna ho yah sab isi function ki madad se set kiya jata hai.

System and Updates

Aapka jo laptop aur computer hai agar aap uski configuration dekhna chahte hai to control panel me is feature ko open kare isme aapko apne computer ki puri jankari detail se mil jati hai. Aap apne computer ka processor dekh sakte hai kitna storage bhara hai aur kitna hard disk hai aapka pc ka processor kis generation ka hai ram kitni hai yah sab kuch control panel ke isi option dekhne ko milta hai.

Program and Features

Yah bhi ek kamaal ka feature hai hum apne computer me bahut sare software install kar lete hai aur isi wajah se hume pata bhi nahi chalta ki humne apne computer me kya install kar rakha hai to ese me aapko yah function kaam aata hai iski madad se computer me kitne software install hai unka version konsa hai aur wah kitna storage le rahe hai yah jankari mil jati hai aur aap yaha se software ko install and uninstall bhi kar sakte hai.

Troubleshooting Feature

Aapne dekha hoga ki hume computer me koi na koi error ya fir problem aati rahti hai aur is ko dekhte hue yah option diya gaya hai jiski madad se hum apne laptop ya computer me aane wale error ko fix kar sakte hai. Aap is feature ka use karke new Windows me bhi old software chala sakte hai jaise ki aapka computer me koi software hai jo windows ko update karne ke baad se kaam nahi kar raha hai to aap troubleshooting ka upyog karke usko chala sakte hai.
Dosto yah the control panel ke function aur features iske alawa bhi bahut sare features control panel me dekhne ko mil jate hai aur sabka apna ek alag use bhi hum aage aane wali post me aapko unke bare me batate rahenge. Aapko computer me control panel ke kisi aur feature ke bare janna hai to hume jarur bataye hum aapko uske bare me bhi detail se batayenge. Hum aasha karte hai ki aapko control panel ke bahut sare features ki jankari ho gayi hogi.

Conclusion

Aaj humne Control Panel ka ek bahut bada hissa cover kar liya is post ko padh kar aap aaj control panel ke bare me bahut kuch jaan chuke aur sikh bhi gaye hai. Ab aap control panel me enter hona bhi sikh gaye hai aur control panle kya hai yah kis kaam aata hai iske alawa Control Panel me kya function aur features hote hai sabki jankari aapko is post me ho gayi hai. Humne control panel ke bare me aapko jyada se jyada batane ki koshish ki hai lekin aap aur bhi kuch janna chahte hai control panel ke bare me to hume comment karke bataye taki hum aapki help kar sake. Dosto post likhne me bahut mehnat lagti hai aur aap is post ko apne dosto ke sath share karke hume apni mehnat ka fal de sakte hai isliye yah post jyada se jyada share kare taki sabhi logo ko control panel ke bare me pata chal sake. Aap ese post daily padh sakte hai iske liye hamari website ko subscribe kare hum aapko jaldi ek aur new post ke sath milenge tab tak ke liye good by.

Post a Comment

Previous Post Next Post