Type Here to Get Search Results !

Laptop/Computer me Screenshot lene ka tarika full guide in 2023

Kya aap jante hai ki mobile me jaise hum screen shots lete hai thik usi tarah hum computer me bhi screenshot le sakte hai aur wo bhi bahut aasani se lekin jyada tar log iske bare me jante bhi nahi honge. Dosto aaj hum is post me aapko computer me screen ahot kaise lete hai iske bare me batane wale hai. Aapko jab bhi kabhi kisi page ka screenshot lena hai ya fir aap kah sakte hai ki aapko koi jankari internet par mili hai aur aap usko image bana kar computer me store karna chahte hai to iske liye aap us page ka screen shot le sakte hai isse aapke paas us web page ka data image me save ho jayega.
Computer me screen shot lena hai
Aap soch kar dekhiye ki aap apne computer me internet chala rahe hai aur ese me aapko koi esi jankari mil jati hai jise aap sabe karna chahte hai to ese me aap page ko bookmark kar lete hai ya fir us page ka link copy karke rakh lete hai lekin wah link ya page jarurat padhne par aap fir se tabhi khol payenge jab aapke paas internet hoga aur internet nahi hoga to fir page data kaise dekhenge to iske liye aap us data ko offline store kar sakte hai yani ki us page ka screen shot bhi le sakte hai isse sara data aapke paas image ke format me hoga aur usko aap kabhi dekh sakte hai aur iske liye aapko internet ki bhi jarurat nahi padhti hai.
{getToc} $title={Table of Contents}

Screenshot kya hota hai

Jine abhi tak yah bhi nahi pata hai ki screenshot kya hota hai to ese logo ke liye hum aapko short me screen shot ko define kar dete hai. Screenshot ek esa tarika hota hai jisme screen par dikh raha jitna bhi data ek photo me badal jata hai. Ise is tarah se samajh sakte hai aap computer chala rahe hai aur usme kuch bhi kar rahe hai to aapko jo screen par dikh raha hai aap uska photo lena chahte hai to is photo ko hum screenshot kahte hai aap apne mobile aur computer dono me screen shots le sakte hai aur hum is post me computer me screen shot lene ke bare me baat kar rahe hai isliye ab aapko screenshot lene ka tarika bhi bata dete hai.

Computer me Screen shot kaise lete hai

Computer me screen shots lena bahut aasan kaam hai aur yaha kamaal ki baat yah hai ki aap ek se jyada tarike se bhi computer me screen shots le sakte hai aur hum aapko multiple method se computer me screenshot lene ke bare me bata rahe hai to chaliye sabse pahle sabse aasan tarika jaan lete hai isme hum shortcut keys ki madad se screen shots lena sikhne wale hai jo normally sabhi log computer me screen shot lene me use karte hai to chaliye dekhte hai.

Computer me shortcut keys ki madad se screen shots lene ka tarika

Step-:1 Aapko iske liye sabse pahle to us page ko apne computer me khol lena hai jiska screenshot aap lena chahte hai.
page for screen shots
Step-:2 Ab aapko Windows key + PrtSc ko press karna hai jab aap yah dono button ek sath dabate hai to aapko computer me screenshot le liya jata hai.
Windows screenshot shortcut key
Step-:3 Yah screenshot jo aap lete hai yah Computer ke file manager ya This Pc me Pictures ke andar screenshot ke folder me save ho jate hai.
screenshot folder
Is tarah se hum bahut aasani se computer me screenshot le sakte hai aur yah screenshot lene ka sabse aasan tarika bhi hai. Chaliye ab hum dusra method bhi aapko batate hai.

Snapping Tools ki madad se screenshots lena sikhe

Step-:1 Is method se screenshot lene ke liye pahle screen par wah page open oar lijiye jiska screenshot lena hai.

Step-:2 Iske baad aapko windows button dabana aur search bar me snipping tools likh kar search karna hai aur fir usko open karna hai.

Step-:3 Iske baad aapko kuch options milenge yaha mode ka option chune aur apni size choose kare aap chahe to mouse ki madad se bhi size select kar sakte hai. aur next par click kare.

Step-:4 Ab hume save snip wale option par click karna hai fir hume screenshot ka naam dalna hai uske baad jis folder me screenshot save karna hai wa chune then oko kare isse hamara screenshot save ho jayega.

Dosto aaj humne aapko yah 2 tarike bataye hai jiski madad se aap screenshot le sakte hai. Dekha jaye to aur bhi tarike hai computer me screenshots lene ke liye par unki jarurat nahi hai yah do method aapko screenshot lene me puri madad karne wali hai aur agar aap koi aur bhi tarika janna chahte hai to hume bataye hum aapko uske bare me bhi aapko bata denge aur haa aap screenshot lekar hum jarur bataye ki aapko hamara post kaisa laga hai.

Screenshot lete samay yah baat yaad rakhe

Dosto aap jab bhi screen shot lete hai to yah yaad rakhe ki aap apne password ka screenshot kabhi na le kyoki bahut logo ki aadat hoti hai ki unko password yaad nahi rahte hai isliye wo log apne id password ka bhi screenshot lene lag jate hai par par isme risk hota hai kyoki kisi me aapke screenshot ke folder me jake photo dekh liye to usko aapke password pata chal jayenge aur isse aapko problem bhi ho sakti hai. Isliye hamara yahi suggestion hai ki aap koshish kare aur apne id aur password screenshot lene se bache.

Conclusion

To dekha aapne computer me screen shot lena kitna aasan hai ab agar kabhi bhi aapko computer ya laptop me screenshot lena hai to humne upar aapko multiple method bataye hai aap isme se kisi ka bhi use kar sakte hai aur ha sabhi computer ya laptop me screenshots lene ka tarika same hota hai. Aapko bhi agar is post ke baad computer me screenshot lena aagya hai to aap bhi jaldi se hamari post ko share kare taki dusre logo ko bhi pata chal sake ki computer me screenshot kaise lete hai aur haa aap ese post apne email par daily pana chahte hai to hamari website ko subscribe kar sakte hai hum aapko jald ek post ke sath milenge filhaal hum is post ko yahi khatam karte hai to mere dosto fir milenge.

Hamari dusri Post bhi padhe -:

Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.