Type Here to Get Search Results !

Mobile me Call Forwarding [Call Divert] ko Activate kaise kare

Mobile me hume vaise to bahut sari kamal ki settings dekhne ko mil jati hai par inme se ek Call Forwarding hoti hai jo ki bahut kamaal ki setting hai Aaj hum iske bare me puri detail se janenge aur iska mobile me upyog kaise karna hai iske bare me bhi janenge. Agar aap yah post padh rahe hai to aapke paas mobile to hoga hi par ese bhi bahut sare log hai jinke paas mobile hota hai lekin wah log sirf call karne ke liye mobile ka use karte hai aur call setting ke features ka bhi upyog nahi karte hai kyoki in features ke bare me bahut sare logo ko pata bhi nahi hota hai.
Call forwarding activate kaise kare
Ab aapko jyada sochne ki jarurat nahi hum aapko mobile ke features ke bare me hamare blog batate rahenge jaise ki aaj hum Call Forwarding ya Call Divert ke bare me aapko batane wale hai Yah ek esi call setting hoti hai jo calls ko ek number se dusre number par transfer karne ka kaam karti hai aur agar hum iska sahi se upyog kare to yah feature hamare bahut kaam aata hai. Ab hum Sabse pahle Call Forwarding kya hai isko samajh lete hai kyoki kisi bhi feature ya setting ko mobile me upyog karne se pahle uski jankari hona chahiye Kyoki jab hume feature ke bare me jankari hogi tabhi to jarurat ke hisaab se hum uska use kar payenge.
{getToc} $title={Table of Contents}

Call Forwarding [Divert] kya hai

Call Forwarding Call ko transfer karne ka ek tarika hota hai aur yah call settings ka ek feature hai jo sabhi tarah ke mobile me hume dekhne ko mil jata hai. Aapke paas 2 mobile hai aur usme se ek ki charging khatam ho gayi hai aur usi mobile me important call aate hai to aap us mobile me aane wali calls ko kisi aur mobile par divert kar sakte hai. Kahne ka sidha sa matlab hai ki apne phone number par aane wali Incoming call ko kisi aur number par divert karna call divert kahlata hai. Aap is setting ka upyog karke apne number par aane wali calls ko apne hi dusre number ya fir dost ke number par transfer kar sakte hai. Yah ek esa feature hai jo sahi se upyog hone par hamare bahut kaam aata hai. Call Forwarding ke bare me to h samajh gaye hai lekin ab hum dekhenge ki isko mobile me activate kaise karte hai.

Call Forwarding/Call Divert kaise kare Janiye

Call Divert karne ka jo sabse aasan tarika hai wahi hum aapko bata rahe hai isliye aap niche diye hue steps ko achche se padhe aur fir follow kare kyoki iske baad aap aasani se call divert activate karna sikh jayenge.

Step-:1 Sabse pahle hume apne mobile call settings me jana hoga aur iske liye aap Apne mobile ka dial pad khole yaha par aapko right side me 3 dots (Menu Option) dikhenge is par click karke settings ka option select kare.
click on settings
Step-:2 Ab next step ki bari hai to ab aapko Kuch options show honge yaha par aapko Call Setting ka option find karna hai aur fir us par click karna hai.
Call settings
Step-:3 Call settings se related sabhi option aapke samne honge isme Call Forwarding wale option ko select kare.
Call forwarding option
Step-:4 Ab agar aapka mobile dual sim hai ya aapne mobile me 2 sim laga rakhi hai to aapko sim chunne ke liye bola jayega aur jisme bhi call divert activate karna hai us sim ko select kare.
select sim for call forwarding
Step-:5 Sim selection ke baad fir se 2 option dekhne ko mil jate hai Voice call aur video call aapko voice call ko chunna hai ya fir aap video call ko bhi chun sakte hai aapko apni jo bhi call forwarding karna hai usko chune hum voice call select kar rahe hai.
select call option
Step-:6 Call Forwarding ki 4 settings aapke samne load ho jayegi. Hume 4 tarah ki call forwarding ke option diye jate hai jo kuch is tarah se hai.
  • Always Forward
  • When Busy
  • When Unanswered
  • When Unreachable
Ab aapko isme se 1st option Always Forward ka hoga ise select kare kyoki yah option hamari sabhi incoming calls ko forward karta hai.
Always Forward Option
Step-:7 Jaise hi hum Always Forward ke option ko on karte hai hamare samne ek pop up khul jata hai yaha par aapko wah number dalna hai jis par aap apni phone calls ko divert karna chahte hai aur number dalne ke baad ok kare.
on call forwarding
Hamare ok karne ke baad jo  Always forward ka option hota hai wah On ho jata hai jiska matlab hai ki ab hamare mobile me jitni bhi incoming call aati hai wah us number par divert hogi jise abhi humne pop up box me dala tha.
Yah puri Process Call Forwarding ko mobile me activate karne ki hoti hai aur jab bhi aapko ise deactivate karna hai to yahi tarika follow aur Always Forward ke option ko band kare isse aapke mobile me incoming call ki forwarding hona ruk jayegi. Dosto yah baat rakhe ki jab call forwarding ka kaam pura ho jata hai to aap isko deactivate jarur kare kyoki agar aap esa nahi karte hai to aapko calls forward hoti rahegi aur aapke number koi call nahi aayega. Call Forwarding ya Call divert karne ki process bahut aasan hai lekin fir bhi agar aapko koi step me pareshani hoti hai ya aap call divert ke bare me aur bhi kuch janna chahte hai to iske bare me hume jarur bataye.

Conclusion

Ab hum ummid kar sakte hai ki aaj aapne Call forwarding activate kaise karte hai iske bare me jaan liya hoga aur kuch samajh nahi aa raha to hame bataye taki hum aapki madad kar sake. hum aapko aage bhi aapko Mobile se related post ke bare me batate rahenge Aap Call forwarding ya call divert se related koi sawaal puchna chahte hai to comment karke puche hum aapke sawaal ka jawab jarur denge. Aap hamare sath isi tarah jude rahe kyoki hum hamesha aapke liye kuch new content lekar aate rahte hai. Dosto Call forwarding ki yah post ab hum yahi par khatam karenge aur aapse kal ek aur new post ke sath milenge tab tak ke liye good by.
Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.