Aaj ka samay technology ka samay hai yah ek esa time hai jaha par har kisi ke paas mobile hota hi hai aur agar aap is post ko padh rahe hai to iska matlab hai ki aapke paas bhi mobile jarur hoga. Aaj hum aapko mobile se related ek bahut achchi janakari dene wale hai jiski madad se aap apne mobile me aane wali notifications ko aasani se band kar sakte hai. Aap apni jarurat ke hisab se sirf unhi app ki notification ko allow karenge jinka notification aap chahte hai aur agar aap chahte hai ki hume ko notification nahi aaye to iske liye aap sabhi app ki bhi notifications band kar sakte hai.
Agar aap heavy mobile user hai to aapko apne mobile me bahut sare apps bhi rakhna padte hai aur bahut apps jab hamare mobile me hote hai inke bahut sare notifications bhi aane lagte hai jo hume bahut baar pareshan bhi karte hai aur is problem ko thik karne ke liye hume apps ki aane wali notifications ko band karna hota hai lekin ab sawaal yah hai ki Mobile me aane wali notification ko stop kaise kare. Dosto hum logo me ese bhi bahut sare log hai jinhe mobile me aane wali notifications ko band karna nahi aata hai isliye humne yah article likha hai aur chaliye ab hum aapko iske bare me jankari bhi de dete hai.
{getToc} $title={Table of Contents}
Mobile me Aa rahi Notifications ko band/stop kaise kare
Mobile me notifications band karne ke liye aapko settings me option diye jate hai aur aap 3rd party software ki madad se bhi notifications stop oar sakte hai lekin usme hume un software ko permission dena hoti hai jiski wajah se wah hamare mobile me kuch bhi changes kar sakte hai. Isko dekhte hue hum aapko mobile ki settings me jakar notification band kaise karte hai iske bare me bata rahe hai isse aapko koi third party app ki bhi jarurat nahi padhne wali hai to chaliye ab hum process ko dekh lete hai.
Step-:1 Mobile ki main settings me chale jaye yaha par aapko app Management search karna hoga aur agar aapke isme search ka vikalp nahi hai to aap Apps Management ka option dhundh kar us par click kare.
Step-:2 Iske baad aapke samne apne kuch options aate hai ya fir sabhi apps jo aapke mobile me hai wah show honge lekin aapke samne kuch option hai to usme App list ka option dikhega us par click kare.Yaha aapko mobile me jitne bhi install apps hai dikhaye jate hai to aap yaha se koi ek app chune jiska notification aapko band karna hai.
Step-:4 App se related kuch option dikhenge isme se ek manage notification ka bhi option hoga aapko is par click karna hota hai.
Step-:5 Finally aap is image me dekh sakte hai ki jo allow notification ka option hai wah enable hai to hume is par click karna hai jisse yah band ho jata hai aur isko band karne ke baad is apps ki notifications aana bhi band ho jati hai.
Is tarah se aapko ek - ek karke sabhi notification ko stop ya band karna hoga. Aap jitne chahe utne apps ki Notification band kar sakte hai ya fir sabhi apps me yah option off kar sakte hai uske baad aapko mobile me koi bhi notifications nahi aane wale hai. Mobile me aane wali notifications band karne ka yah bahut aasan tarika hai aap isko jarur try kare aur ek baat yaad rakhe alag - alag mobile me isko Proccess ko karne ka tarika thoda bahut different ho sakta hai to ese me is setting ko off karne me koi pareshani hoti hai to comment karke hume bataye hum aapki help karenge.
Mobile phone ki Notification band karne ke Advantage
Dosto agar hum apne mobile ki notifications ko band kar dete hai to iska fayda yah hoga ki hamare bar me bahut sari notifications nahi hogi aur bahut sare apps to popup notification send kar dete hai jo ki bahut pareshan karti hai jara aap soch kar dekhiye aap apne mobile me koi jaruri kaam kar rahe hai ya fir koi game khel rahe hai aur ese me aapke samne ek popup notification aata hai to yah aapke kaam me rukavat paida karega aur yah chij aapko bahut irritate bhi karegi aur esi problem ko thik karne ke liye behtar yahi hoga ki aap mobile me aane wali notifications ko band kar sakte hai.
Mobile me notifications stop karne ke disadvantage
Notification ko stop karne ka nuksaan bhi hume hota hai jab aap apne mobile me sabhi apps ki notification ko band kar dete hai to isse aapko koi bhi notifications nahi aati hai yani ki koi jaruri update bhi aata hai to uske liye bhi aapko notify nahi kiya jata hai aapko khud isko check karna padhta hai jaise ki aap agar gmail app ki notification ko stop kar dete hai to hume koi bhi email ka notification nahi milega aur agar aapko email dekhna hai to fir gmail app ko open karke dekhna honge new email aane ka notification nahi aata hai. Dekha jaye to Notifications stop karne ka hume yahi ek nuksaan hota hai.
Hum aapko yahi suggest karenge ki agar aapko apne mobile me aane wali notifications band karna hai to aap sabhi software ki notification band mat kijiye sirf unhi app ki notification band kare jinka notification aap nahi chahte hai isse aapko bahut kam notification bhi aayenge aur jaruri notice miss bhi nahi honge.
Conclusion
Guys aaj humne mobile ki ek bahut achchi trick sikh li hai yah ek choti si setting hai par bahut kaam bhi aati hai aur isse aapka mobile hang hone se bhi bach jata hai to ab aap bhi apni jarurat ke hisaab se unhi apps ko notification bhejne ki permission dijiye jinki aapko jarurat hai aur baki sabhi apps ki mobile me aane wali notification band ya stop kar sakte hai. Humne aapko ab yahi kahenge ki agar aapko hamara yah article achcha laga hai to isko apne dosto ke sath jyada se jyada share kare taki unko bhi agar yah problem hai to wah bhi ise fix kar sake aur haa aap ese post daily padhna chahte hai to hamari website ko subscribe kar sakte hai taki aapko new update ki notification milti rahe chaliye filhaal hum is post ko yahi khatm karenge aur jaldi hi aapse nayi post aur new jankari ke sath fir milenge.
Post a Comment