Hum apni daily life me dekhte hai ki aaj kal har kisi ke paas mobile mil jata hai aur yah mobile hamare bahut kaam aata hai to wahi kuch log iska galat upyog bhi karte hai. Aaj hum baat karne wale hai ki koi bhi mobile number blacklist me kaise dale ya fir block kaise kare. Ese bahut sare log hote hai jine number par bahut sari esi calls aati hai jinhe wo log jante bhi nahi hai is wajah se bahut sare mobile users farzi calls se bhi pareshan ho jate hai aur isi samasya ko dekhte hue mobile me blacklist ka option diya jata hai jiski madad se hum koi bhi number blacklist kar sakte hai yani ki block kar sakte hai.
Yah problem sabse jyada ladkiyo ko face karna padhti hai kyoki agar kisi unknown number se aapko phone aata hai aur aap ek ladki hai to aur samne wale ko iska pata chalta hai to wah iska fayda uthate hai aur aapko baar baar phone laga kar pareshan karte rahte hai. Aapke sath bhi yah chij hui hai aur aap bhi isse pareshan hai to ab pareshan hone ki jarurat nahi hai kyoki aaj hum aapko is samsya ka pura samadhan batane wale hai taki aapko unknown calls se kabhi koi pareshani na ho. Hume mobile ke blacklist feature ka use karne se pahle iske bare me jaan lena chahiye isliye mobile me Blacklist kya hoti hai pahle hum is baat ko samjh lete hai.
{getToc} $title={Table of Contents}
Mobile number Blacklist karna kya hai
Hum ise yah bhi kah sakte hai ki kisi mobile number ko block karna hi blacklist me dalna hota hai kuch mobile me yah option blocklist ke naam se bhi hota hai. Blacklist ek esi list hai jisme hum jitne number dalte hai un number se hume kabhi bhi call nahi aata hai aur agar koi esa number jise hum blacklist me daal chuke hai wah call karta bhi hai to hume call lagega bhi nahi is tarah se kisi unknown number ke calls aapko baar baar aate hai to aap unhe aasani se block karke blacklist me daal sakte hai aur iski koi limit nahi hai aap jitne chahe utne number block karke blacklist me daal sakte hai. Hum yah to samjh chuke ki blacklist kya hai aur kisi number ko blacklist me dalne ke baad kya hota hai ab hum Phone number blacklist me kaise dale iske bare me bhi jaan lete hai.
Mobile number block karke blacklist me kaise dale
Aapke paas koi bhi mobile hai isse koi fark nahi padta hai kyoki sabhi mobile me kisi bhi number ko block karne ka tarika ek jaisa hai isliye aap niche bataye hue steps ko achche se follow kare aapka kaam ho jayega.
Step-:1 Mobile dialer me jana hai yaha par aapko recent calls me wah number dekhna hai jise aap blacklist me dalna chahte hai.
Step-:2 Number milne ke baad us par click karke hold rakhe isse aapko kuch options dekhne ko milenge jisme Blacklist ya blocklist ka option hoga ise select karke add to blacklist par click karke confirm kare.
Is tarah se aap kisi bhi number ko blacklisted kar sakte hai yah bahut aasan hai aur aap is tarah se sirf unknown number hi nahi balki saved number ya koi bhi number black list me daal sakte hai. Chaliye number ko blacklist karne ka tarika to hum samajh gaye hai aur ab hum number agar unblock karna hai ya fir blacklist se hatana hai to iske liye kya karna hoga yah bhi jaan lete hai.
Mobile number unblock karke blacklist se kaise hataye
Number ko unblock karna bhi bahut aasan hai agar aap kisi number ko galti se blacklist kar dete hai to us number niche diye hue steps ki madad se fir se unblock kar sakte hai.
Step-:1 Sabse pahle apne mobile me fir se dialer ko khole aur yaha par aapko jo menu (3 dots) hota hai is par click karna hai fir aapko 2 option milenge block aur settings ka to aapko block ke option par click karna hoga.
Step-:2 Yah karne ke baad aapke samne wah sabhi number honge jinhe aap blacklist me daal chuke hai yaha par us number par click karke hold kare jise blacklist se hatana hai uske baad aapke samne ek popup windows khul jayegi yaha aapko kuch option dekhne ko mil jate hai jisme se ek remove from blacklist hoga is par click kare isse number blocklist ya blacklist se bahar ho jayega.
Dosto yah tarika hai mobile ko blacklist me daal kar block karne ka aur agar number ko galti se blacklist me daal diya hai to usko blacklist se bahar nikal kar unblock karne ka aapko hum in dono ki proccess bata chuke hai isliye ab koi problem nahi ho aur koi pareshani aati bhi hai to hum aapke liye uplabdh hai.
Blacklist me number dalne ke fayde aur nuksan
Blacklist ke is feature ko mobile me upyog karne ke fayde aur nuksan dono hai iska sabse achcha advantage yahi hai ki agar koi bhi unknown number se call karke aapko pareshan karta hai to aap usko block kar sakte hai isse aapko baad me koi pareshani nahi hogi wahi agar iska nuksan dekhe to wo yahi hai ki aap galti se apni jaan pahchan wale ke number blacklist nahi dalna hai. nahi to wah aapko call karta rahega aur aapko call bhi nahi lagega isliye number blacklist me dalne ke baad hamesha check kare ki sahi number to blacklist me dale hai nahi to baad me aapko pareshani hogi.
Conclusion
Aaj hum sikha ki apne mobile me kisi bhi number ko block aur unblock kaise karte hai. Humne sabhi chije clear ki hai aur hume ummid hai ki aapko sab kuch achche se samajh aaya hoga.
Ab dosto aapki bari hai jaldi se un number ko block karne ki jinki calls se aap pareshan hai aur koi number galti se block ho bhi jata hai to unblock karne ka tarika bhi aapko bataya hai. Aap is post ko share karke is jankari ko aur bhi jyada logo tak pahuchaye taki hamari website ke bare me bhi logo ko pata chal sake ese hi mobile se related post padhne ke liye aap hamari website ko subscribe kar sakte hai hum aapke liye daily esi post lekar aate rahte hai. Aaj ki post hum yahi khatam karte hai aur jaldi ek new post ke sath milenge good by.
Tags:
Mobile