Youtube Channel [Youtube Account] Permanently delete kaise kare

Dosto Aaj hum aapke liye youtube se related post lekar aaye hai. Aapke paas smartphone hai to usme youtube bhi hoga aur youtube aap chalate bhi honge. Aap yah to jante honge Youtube par hum apna channel bana sakte hai. Youtube channel banane ke baad youtube par videos daal sakte hai aur isse online paise bhi kama sakte hai lekin bahut sare log hai jo youtube channel galti se bana lete hai aur unko apna channel youtube se hatana hota hai yani ki youtube channel ko delete karna hota hai par kar nahi pate hai kyoki jyada tar logo ko iski jankari nahi hoti hai isliye hum is article ki madad se aapko iski puri jankari de rahe hai.
Youtube channel delete kaise kare
Aaj hum is post me aapko iske bare me batane wale hai ki agar aap youtube channel bana chuke hai to apna Youtube channel delete kaise kare aur aaj hum jo tarika bata rahe hai wah bahut aasan bhi aapke paas mobile ya computer kuch bhi ho usse ko fark nahi padega kyoki dono ke liye ek jaisi Proccess hoti hai. Dosto channel remove karne se pahle aapko ek baat jarur bata dete hai ki agar aap channel ko delete karte hai to fir channel fir se restore nahi kiya ja sakta hai iske alawa aapke youtube channel par jitni bhi videos hai wah sab bhi delete ho jati hai. Chaliye dosto ab hum Youtube channel ko mobile se delete karne ka pura tarika jaan lete hai .
{getToc} $title={Table of Contents}

Youtube Channel [Youtube Account] Delete kaise kare

Jaisa ki hum pahle aapko bata chuke hai ki channel ko delete karne ke liye mobile ya computer kuch bhi ho yah matter nahi karta hai kyoki dono me same Process use hoti hai to hum yaha aapko apne mobile ka upyog karke channel delete karne ke bare me bata rahe hai.

Step-:1 Mobile me chrome ya koi bhi browser open kare aur niche diye hue link ko open kare.
Yah youtube studio ka link hai aap is par click karke youtube studio me pahuch jayenge.

Step-:2 New page me Continue to studio par click kare isse aapke youtube channel ka youtube studio khul jayega. Yaha ek baat yaad rakhe ki jis gmail id se aapka youtube channel bana hua hai wah browser me sign in ho nahi to aapko sign in ke liye bola ja sakta hai to aap apni wah gmail id se sing in kare jisse aapka youtube channel bana hua hai.
Step-:3 Youtube Studio khul jane ke baad left side me dekhe yaha par setting ka option hoga ise select kare.
click studio settings
Step-:4 Popup window khul jati hai yaha aapko Channel ke option par click karna hai fir Advance settings ke tab me jaye aur niche scroll karke Remove youtube content par click kare.
channel advance settings
Step-:5 Aapke samne new page khulega jaha confirmation ke liye aapko apni id ka password dalna hai aur password daal kar next par click kare.
enter youtube password
Step-:6 Iske baad me aapko 2 option dekhne ko mil jate hai.
  • Hide my Channel
  • Delete My Content
Yaha se aap second wale option I want to permanently delete my content par click karna hai.
permanently delete channel
Step-:7 Aapko 2 small box dikhenge isliye agar aapko channel delete karna hai to in box ko tick karke delete my content ke button par click kare.
delete my content
Step-:8 Aakhir me aapko apna email id dalna hai jisse aapka channel bana hua hai id dalne ke baad Delete My Content par click karna hai aur boom guys ! aapka Youtube channel delete kar diya jayega.
enter email and delete
Dosto vaise to channel delete karne ki process ke har ek steps humne achche se bataye hai baki aapko kisi step me problem hoti hai to hume iske bare me jarur bataye taki hum aapko channel delete karne me madad kar sake. Youtube channel delete karne ke kuch disadvantage bhi hai to ab hum aapko uske bare me batate hai.

Youtube Channel delete karne ke nuksan [Disadvantage] kya hai

Dosto Youtube channel ko delete karne se pahle aapko iske nuksan ke bare me bhi pata hona chahiye kyoki esa na ho ki aapko apna youtube channel delete karne ke baad ko pachtava ho to yaha hum aapko kuch point clear kar dete hai ki agar hum apna youtube channel delete karte hai to kya problem hume ho sakti hai.

1.) Aap kisi bhi video par comment nahi kar sakte hai aur na kisi video ko like aur dislike kar sakte hai yah feature aapko tab milte hai jab aapka youtube par channel hota hai.

2.) Aapka youtube channel hai aur aap apne channel par video daal ke rakhe hue hai to channel delete karne ke sath sari videos delete ho jati hai jise aap recover bhi nahi kar sakte hai.

3.) Is article youtube channel ko permanently delete kaise kare iske bare me bataya gaya hai to aap is post me bataye hue steps follow karke apna channel delete karte hai to wah puri tarah se delete ho jayega aur fir aap apne youtube channel ko recover bhi nahi kar sakte hai.

4.) Youtube channel delete karne ke baad aapke youtube ka data aur history dono remove ho jati hai jisme aap jo video like karte hai aur aap jitne bhi channel subscribe kar ke rakhte hai wah sab bhi unsubscribe ho jate hai.

5.) Aapko pata hoga ki youtube channel bana kar paise kamaye jate hai to agar aapka channel monetize hai aur isse aapki earning hoti hai to channel delete karne ke baad monetization bhi remove ho jata hai aur jo earning hoti hai wah bhi ruk jati hai isliye agar aapke paas monetize youtube channel hai to usko delete karne ki koi jarurat nahi hai.

  1. Call Waiting mobile me activate kaise kare.
  2. Mobile me Call Divert on kaise kare.
  3. Mobile me typing speed kaise badhaye.

Dosto yah kuch major point hai jo aapko channel delete hone se pahle pata hone chahiye the isliye inke bare me bataya hai to agar aapko in sabhi baato se koi problem nahi hai to aap apna channel delete kar sakte hai niche humne youtube channel ko delete karne ke pure instructions bataye hai to aap inhe follow kare aur channel ko delete kare.

Conclusion

Aaj hum youtube se apne channel ko delete karne ka tarika sikh gaye hai to ab agar aapko apna koi bhi youtube channel delete karna hai to aap hamare bataye hue tarike se kar sakte hai. Dosto ab aap hume is post ke bare me comment karke jarur bataye ki aapko hamara yah post kaisa laga hai aur ha aapko koi problem hoti hai youtube channel ko delete karne me to hume comment karke bata sakte hai hum aapke liye uplabdh hai. Aapko Youtube channel delete kaise kare wala yah article pasand aaya hai aur isse aapki help hui hai to is post ko apne dosto ke sath bhi share kare taki jise bhi apna youtube channel delete karna nahi aata ho wah bhi is article ki madad se sikh jaye Hum is post ko khatm karte hai aur aage aapke liye esi post lekar aate rahenge aap isi tarah hamare sath jude rahe.

Post a Comment

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post