Youtube channel se video delete [Remove] kaise kare in hindi

Aaj ek naya din hai aur aaj bhi hum aapke liye post lekar aaye hai hum aapko aaj youtube ke bare me batane wale hai. Dosto aaj kal youtube par sabke channel hote hai aur aapko yaad hoga to mene pichli post me humne aapko youtube channel delete karne ke bare me bataya tha aur abhi tak aapne us post ko read nahi kiya hai to pahle use padhe.
Ab baat aati hai ki aaj hum kya janne wale hai to hum aapko bata dete hai ki aaj hum Youtube video delete kaise kare iske bare me baad karne wale hai to agar aap youtube par video upload karte hai aur ab aapko koi video delete karna hai lekin nahi pata hai ki delete kaise karna hai to pareshni ki koi baat nahi hum aapko aaj iski jankari denge.
Youtube channel videos delete
Esa bahut sare logo ke sath hota hai ki youtube par unka channel ban jata hai aur galti se koi videos youtube par wo upload bhi kar dete hai kai baar to koi private video bhi youtube par daal dete hai. aur is problem ko dekhte hue aaj hum aapko youtube par agar aap koi video galti se daal dete hai aur usko apne youtube channel se delete ya remove karna chahte hai to aapko tension lene ki jarurat nahi hai hum aapko iski process ki puri jankari denge isliye aap is post ko pura padhe taki aapko sari steps achche se samajh aaye to chaliye ab hum youtube video delete kaise kare iske bare me jaan lete hai.
{getToc} $title={Table of Contents}

Youtube videos delete karne se pahle yah jane

Youtube video delete karne se pahle kuch esi chije hai jo aapko jaan lena chahiye uske baad hi aap apne youtube channel se video ko delete kare.

Step-:1 Dosto aap agar youtube video ko delete karte hai to yah yaad rakhe ki aap apne channel par fir se us video ko dekh nahi payenge kyoki wah video permanently aapke channel se delete ho jati hai.

Step-:2 Iske alawa yah bhi yaad rakhe ki agar aapka channel monetize hai aur wah video jisko aap delete kar rahe hai usse aapki earning hoti hai to wah hona bhi band ho jayegi kyoki aapki video youtube se delete ho jati hai kahne ka matlab hai youtube video delete karne se earning me aapko kami dekhne ko mil sakti hai.

Step-:3 Agar aap ek youtuber hai to aapko yah pata hona chahiye ki agar hum koi video delete karte hai to iska asar channel ke seo par bhi padhta hai aur hamari videos ki ranking bhi kharab ho sakti hai isliye aap youtube channel ko grow karna chahte hai to video delete karne ki jagah unhe private kar sakte hai.

Youtube videos delete ya remove kaise kare iski puri jankari

Youtube par video delete karne ke liye aapko computer ya laptop ki jarurat nahi hai mobile ki madad se bhi videos ko delete kiya ja sakta hai ayr hum aapko mobile wali method bata rahe hai kyoki pc sabke paas nahi hota hai par mobile to sabke paas hota hai to chaliye mobile ka use karke youtube channel se video delete karte hai.

Step-:1 Aapke mobile youtube ka app hai to sabse pahle usko open kare aur nahi hai to play store se ise apne mobile install kare use baad youtube app ko open kare.
Step-:2 Youtube khulne ke baad aapko right side me upar ki taraf jo chote se circle me photo dikhti hai joki aapke youtube channel ki profile picture hoti hai is par click kare aap image me dekh kar aasani se samajh sakte hai.
click youtube profile
Step-:3 Iske baad aapke samne bahut sare option honge isme sabse pahla option My channel ka hota hai to is par click kare.
click your channel option
Step-:4 Isse aapka youtube channel khul jayega aur yaha par aapki upload ki hui videos hogi aur kuch options bui honge to aap Videos ke tab par click kare aur fir aapko manage videos ka option dikh jayega is par click kare aap is image ko dekh kar samajh sakte hai.
select mnage videos option
Step-:5 Ab jitni bhi videos hume dikhegi unke samne 3 dots (menu) bhi honge to pahle aap wah video chune jise delete karna hai aur uske baad uske samne 3 dots ke option par click kare.
videos option
Step-:6 Abhi ek popup khul jayega yaha par aapko delete ka option bhi dekhne ko mil jayega to simply aap delete par click karke ok kare isse aapke youtube channel se video delete ho jati hai.
click delete videos
yah last step hone ke baad aapko Youtube video has been deleted karke message show hoga aur uske baad aapke youtube video ko delete kar diya jata hai yaha humne aapko sabhi steps achche se bataye hai lekin aapka koi bhi sawaal hai to hum aapki madad karne ke liye uplabdh hai. Chaliye ab aapki baari hai apne youtube videos delete karne ki to jaldi se dosto jo bhi video aapko youtube se delete karna hai wah video hamare bataye hue method ko follow karke delete kar sakte hai.

Youtube video delete karne ke baad yah yaad rakhe

Ab aapko yaha ek baat aur yaad rakhna hai ki jaise aap delete ke option par click karte hai to Undo ka option dekhne ko mil jata hai jis par click karne se video waapas aa sakti hai lekin thodi der baad yah option gayab ho jata hai aur iske gayab hone ke baad aapki video ko bhi permanently delete kar diya jata hai aur ab usko fir kabhi bhi recover nahi kiya ja sakta hai.

Conclusion

Finally aaj humne youtube ke bare me ek aur chij sikh li hai aur ab hum youtube se apni koi bhi video aasani se delete kar sakte hai aapko apne youtube se video delete karne me ya fir youtube se related koi bhi problem hoti hai to hume iski jankari de sakte hai taki hum aapki madad kar sake.
Filhaal aap hume bataye ki aapko hamari aaj ki jankari kaisi lagi hai aur agar yah post helpfull lagi to ise apne dosto ke sath share kare taki hamari website ki madad se hum jyada se jyada logo ki help kar sake. Aapko youtube se related koi bhi jankari chahiye to aap iske liye hamare blog ko subscribe kar sakte hai to chaliye is post ko yahi khatam karte hai aur kal fir se ek new post ke sath milenge tab tak ke liye good by.

Post a Comment

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post