Type Here to Get Search Results !

Gmail id [Google Account] par 2 step Verification kaise lagaye

Internet ka sabse jyada upyog karne wale log yah to jante honge ki gmail id unke liye kitni jaruri hai. Internet ka sahi upyog tab hi ho sakta hai jab hamare paas gmail account ho. Ab Gmail Account create kaise kare iske bare hum bata chuke hai aur gmail account abhi tak nahi banaya hai to pahle aap apna gmail account banaye. Gmail Account banane ke baad sabse jaruri kaam gmail ki security ka bhi hota hai hume apni gmail id ko surakshit rakhna bhi bahut jaruri hai kyoki agar hamara gmail kisi aur ke paas chala jaye to hume bahut pareshani ho sakti hai isliye hume apni gmail id ko safe rakhne ke liye 2 step verification ka upyog karna bahut jaruri hai.
2 step verification for gmail
Aap jara soch kar dekhiye aapki gmail id kitni sari jagah upyog hoti hai jaise aap student hai to aapko school aur collage me gmail id dena hoti hai aur iske alawa aapke jitne bhi documents hota hai waha par bhi gmail account to lagta hi hai sirf itna hi nahi jaise aap social media upyog karte hai to jitne bhi social media ke platform hai waha aapko apna gmail account dalna hota hai aur ab ese me gmail id safe nahi ho to hume bahut pareshani ho sakti hai koi bhi hamari gmail id ki madad se hamare data ko dekh bhi sakta hai aur uska galat upyog bhi kar sakta hai isliye gmail id ko surakshit rakhna bahut jaruri hai. Chaliye ab hum aapko batate hai gmail 2 step verification kya hoti hai uske baad hum iska setup dekhenge.
{getToc} $title={Table of Contents}

Gmail 2-Step Verification kya hoti hai

Gmail ki security ke liye google ne ek feature provide kiya hai jisko hum 2 step Verification kahte hai is security feature me jab hum apni gmail id me log in karte hai to id password dalne ke baad hamare number jo humne apne gmail id par laga rakhe us par ek verification code aata hai yah code ek tarah se otp ka kaam karta hai yani ki ek code ko sirf ek baar  hi upyog kiya ja sakta hai aur jab tak hum is otp code ko nahi dalte hai tab tak gmail id nahi khulti hai aur is tarah se agar aapke password kisi ko pata bhi hote hai to bina code ke wo aapki gmail id khol nahi payega isse aapka gmail account aur secure ho jayega. Chaliye ab hum sabse jaruri baat kar lete hai aur jante hai ki gmail account par 2 step verification turn on kaise kare taki gmail id ki security ko aur badha sake.

Gmail Account par 2 step verification security setup kaise kare

Gmail Account par 2 step verification lagane ke liye hum computer ya laptop ki jarurat nahi hai apne mobile ki madad se bhi ise gmail id par turn on kar sakte hai aur hum aapko mobile ki madad se is security ko gmail par activate karne ke bare me batane wale hai to aap hamare bataye hue steps ko achche se follow kare taaki aap apne gmail id ya account par 2 step verification turn on kar sake.

Step-:1 Sabse pahle hume apne gmail id me jana hoga iske liye aap apne mobile ki settings me chale jaye yaha par google ka option hoga is par hume click karna hai.
click on google option
Step-:2 Yaha aapko apni gmail id dikhai jayegi to aap sabse pahle wah gmail account select kare jis par aapko 2 step verification turn on karna hai aur uske baad Manage Your Google Account par click kare.
Manage Your Google Account
Step-:3 Aapka gmail account khul jayega yaha par ek tab hoga jisme kuch option honge aap tab ko right me slide karna hai Security ka option chunna hai.
Security options


Step-:4 Security se related options aapke samne honge niche scroll karna hai yaha par 2-step verification ka bhi option hoga jo ki off hoga to aap is par click kare.
2-step verification Option
Step-:5 Ab agar aapka gmail browser me sign in hai to yah settings browser me open ho jayegi nahi to pahle aapko gmail id sign in karna hoga uske baad 2-step verification ki yah setting open hogi yaha aapko get started par click karna hai.
click get started button
Step-:6 Aapko verify karne ke liye password dalne ko bola jayega to aap apna gmail id ka password dale. Fir ek security page khul jayega to yaha par scroll down karke continue par click kare.
enter password and next
Step-:7 Hamara kaa lagbhag ho gaya hai ab jo naya page aapke samne hoga usme aapko apne phone number dalna hai jis number par gmail me sign in se pahle code aaye uske baad hi gmail id access ho to aap apne phone number dale aur text message ka option select karke send par click kare.
enter number and next
Step-:8 Aapne jo number abhi dale the us par ek code aaya hoga us code ko is new page me dale aur next par click kare.
enter otp and next
Step-:9 Finally Hume 2-Step Verification turn on karne ka option dikhaya jayega aapko iske upar click karna hai.
2 step verification turn on
Dosto ab hamare gmail account par 2 step verification turn on ho gayi hai to hamara gmail aur bhi jyada surkshit ho gaya hai. Ab agar jab bhi gmail account me sign in hoga to humare number par ek message me code bhi aayega. Jab tak hum is code ko nahi dalenge tab tak hamari gmail id bhi nahi khulne wali hai. Ab agar ki ko aapki gmail ka password bhi pata chal jate hai to bhi wah aapka gmail account open nahi kar sakta hai.

Conclusion

Ha to aaj humne gmail account par 2 step Verification kaise lagaye iske bare me bhi jaan liya hai Aapko gmail id par 2 step verification ko lagane me koi bhi pareshani hoti hai to aap hume jarur bataye taki hum aapki problem ko thik karne me aapki madad karenge aur ese aage bhi hum gmail se related post aapke liye lekar aate rahenge. Gmail se related post sabse pahle pane ke liye aap hamari website ko subscribe kar sakte hai taki hum aapko new updates jo bhi hamari website par aate hai uski jankari sabse pahle aapko bhej sake Chaliye 2-Steps Verification on karne ka yah post ab hum yahi khatam karte hai aur agar aapko hamara post achcha laga hai to aap ise apne dosto ke sath share kare taki aur bhi logo tak hamari jankari pahuch sake.

Hamari Dusri Post bhi jarur padhe -:
Dosto upar kuch aur kamaal ki post hai aap inhe bhi padh kar kuch naya sikh sakte hai.
Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.