Image ka background Erase [Remove] kaise kare ya hataye

Aapko to pata hi hoga ki aaj kal mobile ke liye kitne background Eraser app aaye hue hai jinki madad se hum kisi bhi image ka background remove kar sakte hai. Ab yaha par sawaal yah rahta hai ki konsa app sabse achcha hai aur kis app ki madad se hum aasani se background ko badi remove kar sakte hai aur yahi baat aapko batane ke liye hum ya post likh rahe hai.
remove background from image
Kisi bhi image ka Background  ya uski detail hatane me vaise to time lag jata hai par aaj hum aapko ek esa app batane wale hai aur sath me us app ko use karne ka tarika bhi batane wale hai to aap 1 click me mobile me kisi bhi image se background ko hata sake. Ab isse pahle hum Aap app ki puri detail bata dete hai aur uske baad batane wale hai ki aap is app ka upyog image se background erase karne me kaise kar sakte hai.
{getToc} $title={Table of Contents}

Backround Eraser photo editor App Detail

Yah app aapko play store par bhi aasani se mil jayega aur iska naam background eraser hai aapko hum iska link bhi rahe hai taki aap aasani se ise apne mobile me download kar sake.


Upar diye hue link par click karke aap is app ko sabse pahle apne mobile me download karke rakh sakte hai aur jab aap ise apne mobile me install kar lete hai to uske baad iski madad se background ko erase kaise karna hai chaliye iske bare me jaan lete hai.

Single click me Background Erase ya remove kaise kare

Is app ki madad se badi aasani se kisi bhi image ka background erase kiya ja sakte hai to aap niche bataye hue sabhi steps achche se follow kare aur kuch nahi samajh aaye to humse puch sakte hai.

Step-:1 App open kare aur Create ke button par click karke wah image select kare jiska background aap remove karna chahte hai.
click on create
Step-:2 Image select karne ke baad kuch der loading hogi aur yah app Automatically image se background remove kar deta hai Aap is image me bhi dekh sakte hai.
background removed
To dekha dosto kitna aasan hai sirf image select karna hai aur yah app automatic aapka sab kaam kar dega aur agar aapki image se sahi se background erase nahi bhi hota hai to aap isme manually bhi background ko aasani se remove kar sakte hai.

Background Eraser app ke Advantage

Aapko yah bhi pata hona chahiye ki is app ko use karne ka advantage kya hai chaliye hum aapko batate hai is app ki madad se hum image se background ko to aasani se remove kar sakte hai oar iske alawa aap apna khud ka cartoon avatar bhi bana sakte hai aur isme background remove karne se related bahut sare option bhi available bhi hai.

Background Eraser app ke Disadvantage bhi janiye

Ab dekhiye iske kuch nuksan bhi hai ki isme jo avatar wala feature hai usme sabhi character free nahi hai aur isme ads bhi aate hai to agar aap is ads wali problem se bachna chahte hai to fir aapko iska paid version use karna hoga vaise agar aap is app ka use sirf background Remove karne ke liye karna chahte hai to fir aapko paid version lene ki jarurat nahi hai.

Conclusion

Finally Aaj humne ek new app ke bare me jana aur ek click me background erase karne ka tarika bhi dekh liya. Hume puri ummid hai ki aapko yah post achcha laga hoga aapko yah post achcha laga hai to comment kare aur apne dosto ke sath share kare chaliye is post ko yahi par khatam karte hai aur jaldi new post aapke liye lekar aane wale hai jab tak ke liye good by.

Post a Comment

Previous Post Next Post