Youtube samay ke sath update hota rehta hai abhi kuch samay pahle youtube ne apne handle feature se hume introduce karwaya hai aur ye feature youtube creators ke liye sabse jyada important bhi hota hai.
Namskar dosto aaj hum aapko youtube handle ke feature ke bare me puri jankari dene wale hai aur agar aap ye post pura padh lete hai to uske baad aapko youtube handle ki puri jankari bhi ho jayegi aur yah bhi pata chal jayega ki youtube handle kaise lagate hai. Dosto sabse pahle to hum yah janenge ki youtube handle kya hai aur youtube par iska kya upyog hai.
{getToc} $title={Table of Contents}
Youtube handle kya hai janiye
Dosto Youtube Handle ek tarah ka username hai jo hum apne channel ke liye set kar sakte hai. Pahle youtube par custom url hota tha jise banane ke liye channel par kam se kam 100 subscriber hona jaruri hota tha. Iske baad youtube ne handle ko introduce karwaya jise 0 subscriber wale bhi le sakte hai. Ab iska sabse achcha fayda ye hai ki agar aap apne channel par youtube handle ya fir username add karte hai to aapka youtube channel bhi bahut professional lagta hai. Jab aap apne channel par handle lagate hai aur uske baad koi bhi aapka youtube handle search karta hai to aapka channel bhi result me dikhaya jata hai. Chaliye dosto ab hum sikhenge ki apne youtube channel par handle kaise lagate hai.
Youtube par kis tarah ka handle lagaye
Youtube handle lagane se pahle aapko yah bhi pata hona chahiye ki kis tarah ka handle youtube par use kar sakte hai. Ab dekhiye jo youtube handle hai wo ek tarah ki user id hai isliye ek handle sirf ek hi user le sakta hai. Kahne ka matlab hai ki youtube par koi bhi user 1 handle ko 2 jagah par use nahi kar sakta hai. Agar aapko koi esa youtube handle banate hai jo kisi aur ne pahle se le rakha hai to ese me aap usme koi number add kar sakte hai aur apne handle ko unique bana sakte hai isse aapko apni pasand ka Youtube Handle mil jayega lekin hum yahi suggest karenge ki bina number wala user hi select kare jo pahle kisi ne bhi nahi liya ho isse aapka youtube channel bhi alag dikhega.
Youtube handle kaise lagaye
Youtube par kis tarah ka handle use kar sakte hai yah to hum jaan gaye hai ab baat aati hai ki youtube par handle kaise lagaye to chaliye iski process ko bhi jaan lete hai. Aapko ek baat aur bata dete hai ki aap youtube handle mobile ya computer kisi ka upyog karke bhi laga sakte hai aur yaha par hum mobile ka upyog karke youtube handle lagane wale hai to chaliye shuru karte hai.
Step-:1 Aap iske liye apne mobile me ek web browser khole hum yaha par google chrome ka use kar rahe hai. Ab aapko youtube.com par chale jana hai uske baad aapko ise browser me web version me kholna hai.
Step-:2 Yaha par right side me apni profile photo par click karke youtube studio ke option ko new tab me open karna hai.
Step-:3 Ab aapke youtube channel ka studio open ho jayega yaha par customize ka option dikhega is par click kare. Ab basic info ke tab par click kare yahi par youtube handle ka option dekhne ko mil jayega.
Step-:4 Aap apni pasand ka koi bhi youtube handle bana sakte hai aur agar aapki pasand ka handle available nahi rahta hai to aap apne banaye hue youtube handle me koi digit bhi add kar sakte hai. Finally new Youtube handle set karne ke baad par save par click kare aapka kaam ho jayega.
Aakhir kaar hamara youtube handle lag gaya hai aur is tarah se hum apne youtube channel par handle laga sakte hai aur hum yahi ummid karte hai ki aapko bhi samajh aagya hoga ki youtube handle kaise lagate hai. Aapko agar koi problem ho hai kisi step me to aap hume comment karke bhi apni problem bata sakte hai.
Youtube handle lagane ke fayde
Dosto dekhiye agar aap ek youtuber hai to isse aapka channel professional lagega aur iske alawa aapke youtube channel ko ek unique id bhi mil jati hai. Youtube handle add karne ke liye aapko 100 subscriber bhi nahi chahiye aap direct kabhi bhi apne liye youtube handle bana sakte hai. Youtube handle banane ke baad agar koi bhi aapke channel ko youtube par search karta hai to aapka channel sabse pahle visible ho jata hai. Iske alawa bhi bahut sare fayde hai handle banane ke isliye aap youtube par apna handle jarur banaye.
Youtube Handle banane ke nuksaan
Youtube handle banane ka koi bhi nuksaan nahi hai balki ye to aapki youtube user id hoti hai isliye aapka channel ho ya na ho par aap youtube handle jarur banaye. Abhi youtube handle ka feature new hai thode samay baad har koi apni youtube user id le lega isse pahle aap apni pasand ki user id lekar youtube handle bana sakte hai. Baad me esa na ho ki jo youtube handle aap banane ke bare me soch rahe hai wah koi aur le lega to fir aapko dusra handle banana padega kyoki ek id ek youtube user ke liye hai isliye jaldi se youtube handle banaye aur iska koi nuksaan nahi hai.
Conclusion
Dosto aaj hume Youtube handle ki puri jankari mil gayi hai. Youtube par handle lagana bahut aasan hai aur Aapka youtube handle is post ki madad se set ho jayega aur agar koi dikkat hoti hai to fir aap mujhe comment karke jarur bataye taki hum aapki help kar sake. Youtube se related koi bhi sawaal aap hume puch sakte hai. Aapko youtube se related latest jakari chahiye to fir aapko abhi hamari website ko subscribe karna chahiye taki hum aapko new latest update email par bhej sake. To chaliye jaldi hi milenge kuch aur new jankari ke sath abhi ke liye good by.
Post a Comment