Dosto mobile kuch ese kamaal ke features hote jinke bare me hum nahi janate hai aur aaj bhi hum mobile ke ese ek feature
ki baat karne wale hai jiske bare me aapko pata bhi nahi hoga. Aaj hum
jis feature ke bare me aapko batane wale hai uska naam hai color Inversion ya fir aap kah sakte hai ki negative screen feature esa isliye hai ki jab hum is feature ko on karte hai to isse hamare mobile ki screen negative ho jati hai. Jab mobile ki screen negative ho jati hai to bahut sare log ghabra jate hai ki ye unko mobile me kya ho gaya hai aur soch lete hai ki mobile kharab ho gaya hai.
Hamara
ek dost hai jiska mobile bhi ek din negative mode me chala gaya tha aur
usne bina kuch soche apne mobile ko dukaan par dikha diya tha aur
dukaan wale ne ise thik karke to de diya par usse is kaam ke bhi paise
liye jabki yah ek simple setting hai jise asani se off kiya ja
sakte hai to agar aap bhi negative screen wali problem ko face kar rahe
hai to ab aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai aur na kisi dukaan par
jakar iske liye apna paisa kharch karna hai hum puri detail se aapko
iske bare me batane wale hai to chaliye sabse pahle ye samajh lete hai
ki Color Inversion kya hota hai aur yah kaise kaam karta hai.
{getToc} $title={Table of Contents}
Color Inversion/Negative screen kya hai janiye
Mobile
me bahut sari settings hoti hai aur usi me se ek color Inversion hota
hai aur jab hum is setting ko on karte hai to hamare mobile ki screen negative
ho jati hai aur isme aapke mobile me uplabdh photos videos yaha tak
agar aapko koi game bhi khelte hai to wo bhi aapko mobile me negative hi
dikhata hai isliye aap negative screen problem bhi kah
sakte hai. To dosto color Inversion feature ko on karne par kya hota hai
hamare mobile iske bare me to humne jaan liya hai lekin yah feature
hamare mobile me on ho jaye to isko off kaise karna hai aur is negative screen ki problem ko solve kaise karna hai iske bare me bhi jaan lete hai.
Mobile me negative screen ya color Inversion ko on/off kaise kare
Dekhiye color Inversion ek mobile ka hi feature hai aur iska option hume main settings
me diya jata hai jaha se hum iska upyog kar sakte hai to aapko isko on
ya fir off karne ke liye niche bataye hue sabhi steps ko follow karna hoga uske baad aap color Inversion ka upyog karna sikh jayenge.
Step-:1 Jaisa ki aapko bata chuke hai ki mobile me color Inversion ka option main settings me hota hai to aap apne mobile ki settings me chale jaye.
Step-:2 Ab aapko yaha par Additional Settings me chale jana hai kuch mobile me Color Inversion ka option display ke option me bhi hota hai.
Step-:3 Additional settings me jane ke baad aapko Accessibility ke option par click karna hai isme Inversion ka option hai.
Step-:4 Accessibility open hone ke baad kuch options aapke samne honge to isme aapko Color Inversion ka option dekhne ko mil jayega jo on hoga to aap is par click karke ise off kare.
Jaise hi aap ise on se off kar dete hai to aapke mobile me jo negative screen
ki problem ho rahi thi wo thik ho jayegi aur mobile display bhi normal
ho jayegi. Dosto ab aapki bari hai to jaldi se yah tarika try kare aur
agar koi problem hoti hai to iske bare me comments me bataye taki hum
aapko help kar sake. Aapko ek baat aur bata dete hai ki agar aapke
mobile me additional settings me color Inversion ka option nahi
hota hai to jab aap mobile me main settings open karte hai to yaha upar
jo search box hota hai usme color Inversion likh kar search kare isse
color Inversion ka option aapke samne aa jata hai aur aap usko off kar
sakte hai.
Color Inversion ka upyog kaise kare
Color
Inversion ka option hamare mobile hota hai lekin aap iska apne liye use
bhi kar sakte hai chaliye aapko iske bare me bhi bataye hai. Aapke paas
mobile hai par kai bar bachche usko khelne ke liye maang lete hai aur
aap dena nahi chahte hai fir bhi aap unhe mana nahi kar pate hai to ese
me aap unhe color Inversion on karke mobile de sakte hai aur bol
sakte hai ki mobile kharab hai to aap apna mobile kisi ko bhi dene se
aasani se bach sakte hai aur aapka koi private data dekh na le iska darr
bhi khatam ho jayega to dosto aap ese bhi iska upyog kar sakte hai.
Conclusion
Aaj
humne color Inversion ke bare me sikha jo ki ek bahut achcha feature
hai aur iska upyog kab aur kaha kiya ja sakta hai yah bhi humne jaan
liya hai. Ab kabhi aapka mobile negative screen ho jata hai to
aapko pareshan hone jarurat nahi hai aap bas hamara bataya hua tarika
follow kare aur apne mobile ki display ko aasani se normal display me set kar sakte hai aur agar aapke dimaag me color Inversion ko lekar kuch bhi sawaal hai to aap hume iske bare me comment karke bataye hum aapke sawaal ka jawaab jarur denge.
- Youtube channel delete kaise kare
- Call Divert kaise kare janiye.
- Call Waiting activate kaise karte hai sikhiye
- Mobile typing speed kaise badhaye.
Dosto
humne to apna kaam kar diya hai aur aapko color Inversion ya negative
mobile display ki puri jankari de chuke hai lekin ab aapki bari hai to
aapko yah post achcha laga hai to aap ise apne dosto ke sath share
kare taki unki bhi help ho sake aur wo bhi aapki tarah kuch naya sikh
sake. Aap esi post daily padhna chahte hai to iske liye hamari website
ko subscribe kare taki aapko esi jankari hum email par bhejte rahe. Chaliye color Inversion ki is post ko hum yahi par khatam karte hai aur jaldi new post ke sath milenge abhi ke liye good by take care.
Post a Comment