Type Here to Get Search Results !

Laptop (Computer) ki screen ulti ho gayi hai ! Thik kaise kare

Aaj ka hamara sawaal hai ki Computer ki screen ulti ho gayi hai kaise thik kare ? Hello dosto aapka fir se swagat hai Kaise hai aap log aaj hum aapke liye fir se ek computer ki trick lekar aaye hai jo ki aapke bahut kaam aane wali hai. Hamara computer ya laptop agar koi esa banda khol leta hai jisko computer chalana nahi aata hai to wah usme pakka kuch na kuch gadbad kar deta hai aur unhi me se ek hai hoti apne computer ki screen ulti kar dena. Jab screen ulti ya fir hum kah sakte hai ki screen rotate ho jati hai to bahut se log usko thik nahi kar pate hai isliye agar aapko bhi yahi dikkat hai to dont worry aaj hum aapko iske bare me sikhayenge ki agar koi bhi galti se aapke computer ki screen rotate kar deta hai to usko fir se thik kaise karte hai.
Computer ki screen ulti ho gayi hai
Bahut sare ese log hai jinko yah problem ho jati hai aur wah log iske liye kisi computer shop par chale jate hai usko thik karwane ke liye dukaan wala thik to karke deta hai par iske liye bahut sare log charge bhi lete hai. Ab jara aap sochiye ki sirf computer ki screen ko fir se landscape mode me karne ke liye aapko paise dena pade ab isse bura kya hoga lekin ab aapko kisi ko paisa dene ki jarurat nahi hogi kyoki hum hai naa aapki madad karne ke liye. Hum aapko sabse aasan tarika bata rahe hai jiska upyog karke aap apne hisab se computer ya fir laptop ki screen ko rotate kar sakte hai.

Computer Screen ulti ho gayi hai to kya karna hai

Computer screen ulti ho gayi hai aur ab aapko ulti screen ko thik karna hai to iske liye niche bataye hue steps ko follow kare aapka kaam ho jayega.

Step-:1 Apna computer chalu kare aur yaha par aapko apni home screen par right click karna hota hai. Aap screen par kahi par bhi right click kar sakte hai.
Screen Resolution
Step-:2 Right Click karne ke baad ek popup khulega aur yaha par kuch option honge to aap Screen Resolution wale vikalp par click kare.
Step-:3 Iske baad fir se ek box khulega jisme kuch options honge. Jo kuch is tarah se honge.
  1. Landscape
  2. Portrait
  3. and
  4. start
Aap achche se samajhne ke liye is image me dekh sakte hai aap sab samajh jayenge.
Landscape mode
Step-:4 Aapko ese 4 option dekhne ko mil sakte hai to yaha par aapko landscape wale option par click karna hai. Landscape ka option first number par hota hai to aap isko chun kar ok kare aapka kaam ho jayega. Ab aap dekhenge ki jo aapke computer ki screen ulti ho gayi hai to fir se screen sidhi ho jayegi.

Computer ki screen ulti kyo hone ke Reasons

Jaisa ki humne computer ki screen sidhi karli hai par iske ulte hone ka karan humse galti se screen ka mode landscape se portrait ho jata hai aur iska natija screen ulti ho jati hai aur kai baar screen ulti nahi hoti hai balki aadhi rotate ho jati hai lekin usko bhi aap thik kar sakte hai isliye ab agar kabhi bhi screen ulti ya fir portrait mode me chali jati hai to aap is tarah se screen ko Landscape mode me kar sakte hai taaki aapki galti se ulti hui screen fir se sidhi ho jaye. Iske liye shortcut keys bhi hoti hai jiski madad se screen ko sidha kiya ja sakta hai agar aapko shortcut keys ke bare me janna hai to aap hume comment karke bataye uske baad hum aapko computer screen ulti sidhi karne ke liye shortcut keys ke bare me batayenge.
Finally aaj humne computer ki screen ko rotate karne ke baare me jaan liya hai. Kabhi aapki screen ulti ho jate hai ya fir rotate ho jati hai to aapko hamare bataye hue steps ko follow karna hai isse aapki screen fir se sidhi ho jayegi. Ab aapke kisi dost ki screen me bhi is tarah ki koi problem ho jati hai to aapko kisi dukan par jane ki jarurat nahi hai aur na to usko paise dene ki jarurat hai aap khud bhi isko thik kar sakte hai aur itna hi nahi agar yahi problem aapke kisi dost ko bhi hoti hai to aap uski bhi madad kar sakte hai aur aapko koi dikkat hoti hai to uske liye hum aapke sath hai.
Hum hamesha ki tarah aapke liye ese hi kamaal ke post lekar aate rahte hai aur aage bhi ese post aapko padhne ko milte rahenge aur aapko hamare post achche lagte hai to jaldi se hamari website ko subscribe kare taki aapko hamari website ke new updates ki jankari sabse pahle mil sake. Hum comment karke jarur bataye ki computer screen ulti ho gayi hai to aapne usko thik kar liya hai aur agar computer me koi bhi problem hoti hai to uske bare me bhi bataye hum aapki puri madad karenge. Chaliye abhi hum jate hai aur kal fir se aapke liye ek new post lekar aate hai fir milenge.
Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.