Type Here to Get Search Results !

Gmail id [GoogleAccount] ka paasword yaad nahi aa raha hai? ab kya kare

Yuhu Dosto hum fir se aaye hai aapke samne kuch naya lekar jo aapko bahut achcha lagne wala hai. Aap agar hamari post roj padhte hai to aapko pata hoga ki pichli post me hum google account yani ki gmail id create karna sikh chuke hai lekin aapne wah post nahi padhi hai to koi baat nahi niche diye hue link par click karke us post ko padh sakte hai. Dosto is post padhne ka fayda tab ho jab aapke paas gmail id hogi to aap is link par click karke google account bana sakte hai.
Ab hum ummid kar sakte hai ki aap apne liye google account bana chuke honge. Google account banane ke baad hamare liya yah jaruri hai ki hum apni gmail id ko safe rakhe. Ab iske liye aapko apne gmail id ke password yaad rakhna hote hai lekin hota kya hai ki bahut sare log apne google account ke password bhul jate hai. Jab koi new google account banata hai to uske sath yah problem ho jati hai ki wah apne gmail id par kya password lagaye the bhul jata hai aur usko password yaad nahi rahte hai.
gmail id ka password bhul gaye hai
Vaise yah chij mere sath bhi hui thi me bhi apni gmail id ke password first time bhul gaya tha aur mujhe bahut pareshani hui thi. Chaliye is baat ko rahne dete hai aur aaj is post me hum kya janne wale hai iske bare me jaan lete hai. Mere Dosto aaj hum aapko Gmail Id ke password recover karne ke bare me batane wale hai. Aapke paas google account hai aur aap password bhul gaye hai to apne password recover kaise karna hai aur iska kya tarika hai iske bare me baat karne wale hai. Gmail id ka password bhul jane par recover karne ki proccess bahut aasan hai aap iske hamare bataye hue instructions ko achche se follow kare.
{getToc} $title={Table of Contents}

Gmail Account Recover karne ke liye kya chahiye

Google account ke password bhul gaye hai aur usko recover kar rahe hai to aapko apni user id aur wah phone number yaad hona chahiye jo aap apne google account ko create karte samay daale the iske alawa kabhi kabhi security purpose ke liye aapko apni date of birth ya fir aap google account konse saal aur kon se mahine me banaye the yah puch sakte hai. Ab agar aapko yah sab yaad hai to google account ke password change karne me aapko koi pareshani nahi hone wali hai. Chaliye ab hum aapko Google account ke password ko recover karne ka tarika batate hai.

Google Account [Gmail Id] ka password bhul jane par recover kaise kare.

Google account ka password recover karne ka yahi tarika hai ki aap apne paasword change karke new password banaye to hum aapko ek - ek steps achche se bata rahe hai aap inhe follow kare aur apne liye ek achcha password bana kar password change kar sakte hai. Dosto aap Laptop ya mobile kisi ka bhi upyog kar sakte hai hamari method dono me kaam karti hai.

Step-:1 Sabse pahle hum ek link browser me open karna hai aap niche diye hue link ko apne mobile ya computer me open kare yah gmail account login karne ke page ki link hai.


Yaha se aap gmail id signin kar sakte hai to sabse pahle apna gmail user id dale aur next par click kare.
enter email and next
Step-:2 Ab aapko password dalne ke liye bola jayega par password to hame yaad nahi hai isliye yaha par jo forget password ka option hai uspar click kare.
Forget password for gmail
Step-:3 Aapko ek baar fir se password dalne ke liye bola jayega lekin aap Try another way par click kare jaisa ki image me dikhaya gaya hai.
Try another way
Step-:4 Ab aapko ek code dikhaya jayega yah code 2 digit ka hota hai jaisa ki aap is image me dekh sakte hai aapko jo bhi code screen par dikhe use yaad rakhe.
Account Recovery
Step-:5 Now aap apne mobile ka notification check kare waha gmail ka ek notification aaya hoga us par click kare. Yah notification aapke number par bheja jata hai to agar aapke phone number kisi aur mobile me hai to gmail ka yah notification usi mobile me jayega aap is par click kare.
confirm password change
Step-:6 Next page me aapko dekhne ko milega ki aapki gmail id koi login karne ki ki koshish kar raha hai to yaha aapko yes its me par click karna hai.
Yes its me
Step-:7 Iske baad aapke samne 3 code honge to aap wah code chune jo hume step-:4 me dikhaya gaya tha aur humne aapko kaha tha ki us code ko yaad rakhe.
Match the number
Step-:8 Jab aap sahi code chunte hai to aapke samne new page khul jata hai jaha par aapko New password banane ke liye bola jata hai to aap apna password banaye aur usko confirm karke next par click kare.
Make new gmail password
Step-:9 Iske baad me aapko security purpose ke kuch suggestions dikhaye jate hai yaha aap page ko scroll down kare niche Continue ka option dekhne ko milega is par click kare.
 
click on continue
Boom guys ! ab hume gmail par redirect kar diya jayega aur hamara new password bhi create ho jayega. Yahi tarika hai apne bhule hue gmail id ke password ko recover karne ka aapko bhi apni gmail id ka password change karna ho to aap yah method try kare isse aasani se password change kiye ja sakte hai.
Vaise to is post me sab kuch clear ho gaya par fir bhi koi pareshani hai to hume comment karke jarur bataye taki hum aapki madad kar sake.

Gmail id ke liye kaisa password banaye

Dosto jab bhi aap google account ka password bhul jate hai aur new password banate hai to iske liye sabse jaruri yah hai ki aap apna password bahut hard banaye jo sirf aapko yaad rahe aur koi bhi dusra vyakti uske bare me kabhi soch bhi na sake. Agar kisi ko aapke paasword ka pata chal jaye aur aapko google account koi khol leta hai to usse aapko bahut pareshani ho sakti hai isliye yah jaruri hai ki aapka password strong hona chahiye aap koi week paasword ka upyog kabhi mat kariye. Ab baat aati hai ki strong password kaise banaye to iske liye aap hamesha apne password me digit, small aur capital alphabets, iske alawa special symbol ka upyog kare.

@#₹¢%$€£73hnJsGM

Aap yaha dekh sakte hai ki aapko is tarah ke word ka upyog karke apna paasword banana hai esa nahi ki aap password me apna naam ya phone number daal de jisse koi koi bhi uske bare me soch kar aapka google account open karle. Isliye hamesha paasword banate waqt is baat ka dhyan rakhe ki aapka paasword strong ho.

Gmail id/Google account se password recover karne se related FAQs

Hum google account ke password kitni baar change kar sakte hai.

Hum apni marzi ke hisaab se jitni baar chahe utni baar google password badal sakte hai iski koi limit nahi hai.

Gmail account ke password mobile ki madad se change kar sakte hai.

Haa aap apne mobile me bhi gmail id ke password ko change kar sakte hai humne is post me jo method batai hai wah mobile aur computer dono me kaam karti hai

Kya password change karne se google account par koi effect padta hai.

Nahi aap kitni bhi baar password badal lenge to bhi isse aapke google account par koi effect nahi padhta hai.

Kya Google account ka purana password pata kiya ja sakta hai.

Nahi hum apne purane password pata nahi kar sakte hai lekin uski jagah hum new password google account ke liye bana sakte hai.

Conclusion

To dosto aaj aap sab ne bhi hamare sath gmail id ka password bhul jane par usko recover kaise karna hai iske bare me sikh liye hai. Aap hume bataye ki yah post aapke liye kitna helpfull hai aur agar ese articles roj padhna chahte hai to hamari website ko abhi subscribe kare taki jab bhi hum koi new post likhe to uska notification aapko email par mil sake. Abhi to google account ke bare me janne ke liye aur bhi bahut kuch aapko aane wali post me padhne ko milne wala hai isliye aap hamare sath isi tarah bane rahe aur roj kuch naya sikhte rahe Chaliye ab hum is post ko end karte hai aur kal fir ek new post ke sath milenge tab tak ke liye good by.
Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.