Type Here to Get Search Results !

Google play store ki id [Playstore Account] kaise banaye in hindi.

Aapke paas android mobile hai to usme aapne ek app Google play store bhi dekha hoga jaha par mobile ke liye sabhi application uplabdh hoti hai aur unhe hum play store se install karke apne mobile me upyog kar sakte hai. Google Play store par hum sabhi tarah ke software dekh sakte hai yaha par sirf software hi nahi balki ebooks, games aur bhi bahut kuch hota hai. Esa nahi hai ki hum sidhe play store ka upyog kar sakte hai play store ka use karne se pahle hume play store par apni id ya account banana padhta hai uske baad hum play store ko apne upyog me le sakte hai.
{getToc} $title={Table of Contents}
Aap me se bahut sare logo ko yah nahi pata hoga ki play store kiski service hai to hum aapko bata dete hai yah bhi google ki hi service hoti hai jo google ne hume provide ki hai aur isliye har android mobile me aapko apps install karne ke liye play store dekhne ko mil jata hai aur yaha par hamare liye free aur paid dono tarah ki chije uplabdh hoti hai. Ab hamara main question aata hai ki Google Play store ki id kaise banaye ? iska jawaab hai ki agar aapko bhi agar play store par account banana hai to iske liye aapke paas ek gmail id ka hona bahut jaruri hai.
Play store ki id
Jaisa ki hum aapko bata chuke hai ki yah google ki ek service hai to iska matlab hai aapko google account ki jarurat hogi kyoki google ki kisi bhi service ya product ko use karne ke liye gmail ka hona jaruri hai to aap upar diye link par click karke post padhe aur apni google id bana lijiye par aapke paas already gmail hai to fir hum sidhe play store ki id bana sakte hai gmail id banane ke baad chaliye ab hum aage ki Process dekh lete hai.

Play store ki id/account kaise banaye full guide

Aapko yah baat fir se bata dete hai ki aapko Google play store ki id banani hai to gmail id ka hona bahut jaruri hai isliye gmail id banane ke baad niche bataye hue steps ko follow kare Humne play store ki id banane ka sabse aasan tarika bataya hai aap sabhi steps achche se follow kare.
Step-:1 Play Store ko apne mobile me open kare yaha par aapko sign in likha hua dikhega is par click kare fir aapko gmail id dalne ke liye bola jayega to aap apna gmail id daal kar next kare.
enter email
Step-:2 Ab aapko apni gmail id ka password dalna hoga yaad rakhe apna sahi password dale uske baad next par click kare.
enter gmail password
Step-:3 Agle page me aapko gmail verify karne ke liye bola jayega to yaha 2 option hote hai aap Text ka option chune isse aapke phone number jo aapne gmail par dale hai us par ek G-Code (OTP) aata hai wah next page me daal kar apna gmail id verify kare.
select text option
Step-:4 Fir google aapko kuch details batata hai yaha par scroll down karke aap simply Yes I'm in par click kare fir aapko backup ke liye pucha jayega to aap Dont turn on par click kare then next page me I agree par click kare.
click on yes
Step-:5 Last me aapke samne kuch settings hogi jo on hogi to aapko isko kuch nahi karna hai yaha par aap bas scroll down kare aur Accept par click kare isse hamare mobile me play store khul jayega.
click and accept
Ab hamari play store ki id ban kar ready ho chuki hai aur play store bhi open ho gaya hai iske baad hum play store se kisi bhi application aur jo bhi software waha uplabdh hai usko apne mobile install karke apne liye upyog kar sakte hai. Play store par account banane ke aur bhi tarike hai par yah sabse aasan method tha isliye humne aapke sath ise share kiya hai aur iske baad bhi aapko play store account banane me koi bhi problem ho rahi hai to hume iske bare me jarur bataye hum aapki problem solve karenge.

Play Store ke fayde aur nuksan

Dekha jaye to play store ki id banane ke bahut sare fayde hai agar aapke paas android mobile hai to aapko mobile ke liye sabhi applications play store par hi milne wali hai isliye mobile ka pura upyog karne ke liye play store par account hona bhi jaruri hai yaha par aapko ebooks bhi mil jati hai aur aap online unhe padh bhi sakte hai iske alawa education se related sabhi apps bhi hume yaha dekhne ko mil jate hai itna hi nahi hum apna khud ka software bana kar yaha publish kar sakte hai halaki iske liye hume paise lagte hai aur pay karne baad hum apna app bana kar bhi upload kar sakte hai.
Play store se vaise to hume koi nuksan nahi hai lekin fir bhi yaha sab kuch free me nahi milta hai esi bahut sare software hai jo hamare bahut kaam aate hai par unke liye hume paise dena padh sakte hai kyoki play store par paid apps bhi hote hai. Ha par yah hamare upar nirbhar karta hai ki hume free software upyog karna hai ya fir paid wale bas yahi ek problem hai ki yaha par bahut kuch free hai par kuch software paid bhi hote hai.

Conclusion

Aakhir kaar aaj humne yah bhi jaan liye ki google play store ki id kaise banate hai aur hum ese hi aapke sath aage bhi play store se related knowledge share karte rahenge. Play store ki id banana bahut aasan hai ab aap bhi apna play store par account create kar sakte hai. Humne aapke liye itni mehnat se article likha hai to isliye aap ise apne dosto ke sath share jarur kare taki hamara blog aur jyada logo tak pahuch sake. Hum aage bhi aapke liye ese hi knowledge se bhare post lekar aate rahenge isliye aap hamare blog ko abhi subscribe kare taki aapko latest update ki jankari sabse pahle mil sake to chaliye dosto ab yah post hum yahi khatm karte hai aur jaldi new post ke sath milenge tab tak ke liye good by.
Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.