Facebook par single name id [without last name] kaise banaye

Facebook ek samay par sabse jyada use hone wala social network raha hai halaki ab iske upyog me kami dekhne ko mili hai par kya aap jante hai ki facebook par esi bahut sari chije karna posible hai jiske bare me aap sochte bhi nahi hai. Kya aap jante hai ki hum facebook par single name id bhi bana sakte hai yaha single name id ka matlab bina surname ya fir last name dale bina apna naam facebook par rakh sakte hai.
Facebook single name id kaise banaye
I know ki aapko yah trick janne ka bahut man hoga aur aapne bahut sare ese facebook account dekhe honge jin par single name tha aur aapka bhi man kiya hoga is tarah se facebook id banane ka lekin aaj aap is trick ko janne wale hai par usse pahle hum aapko facebook par single name id ka kya matlab hai iske bare me bata dete hai taki wah log iske bare me jaan sake jinhe single name id ka matlab nahi pata hai.
{getToc} $title={Table of Contents}

Facebook par single name id kya hai

Maan lijiye ki mera naam Vivek Vaishnav hai par mujhe apni surname ya last name remove karna hai aur keval vivek naam se apni facebook id ko chalana hai aapko yah to samajh aagya hoga ki facebook single name id kya hota hai lekin aapko yah bhi bata dete hai ki normally yah posible nahi hai par hum aapko ek bahut kamaal ka trick bata rahe hai jisse aapke liye facebook par single name id banana posible ho jayega to chaliye dosto hum aapko facebook par single name id kaise banaye iske bare me bata dete hai.

Facebook par single name id banane ke liye requirements

Facebook par single name id banane ke liye kuch requirment hai to unke bare me bata dete hai.

1.) Dosto aapke facebook account par name change karne ka option enable hona chahiye agar aapne kuch samay pahle naam change kiya hai to fir aapko 60 days wait karna padta hai uske baad aap apne account par single name id bana sakta hai aur agar aapko instant hi facebook single name id banani hai to fir aap new facebook account banaye aur us par niche bataye hue steps follow karne new facebook id par single name set kar sakte hai.

2.) Yah trick karne ke liye aapko laptop ya computer nahi chahiye aapke paas bas mobile honga chahiye aur usme facebook app ko install karke apna wah account log in karna hai jis par aap single name set karna chahte hai.

Yah sabhi chiye aapke paas available hai to aap facebook par single name id banane ke liye eligible hai to chaliye single name id bhi create karna sikh lete hai.

Facebook par single name id [without surname] kaise banaye

Facebook par single name id banane ke multiple tarike hai par hum aapko sabse aasan tarika bata rahe hai jiski madad se aap bas 2 minute me apne facebook account par apne naam se last name remove kar sakenge.

Step-:1 Sabse pahle aap apne mobile Facebook app open kare aur agar aapke paas app nahi hai to play store se aap download kar sakte hai.


Step-:2 Ab apna id password daal kar account open kare Facebook id open karne ke baad aapko right side me menu bar par click karna hoga.
Click facebook account menu
Step-:3 Yaha par aapko scroll down karke settings ka option find karna hai aur jab option mil jaye facebook account settings par click kare.
click language
Step-:4 Yaha hume sabse pahle language ka option dhundhe aur tamil language select kare isse aapke account ki language tamil ho jayegi.
click tamill language
Step-:5 Ab aapko fir se setting me jana hai aur is baar account information par click karna hai tamil me yah option esa dikhega aap is image me dekh sakte hai.
click your fb name
Step-:6 Yaha par aapka naam likha hoga is par click kare aur first name me aap jo bhi naam dalna chahte hai dale and last name ko khali [Blank] rahne de.
click save changes
Step-:7 Next par click karne ke baad aapko apne facebook account ke password ko dalna hai then ok par click karna hai aapka kaam ho jayega.
enter facebook password
Step-:8 To dosto itna karne ke baad aapka naam single ho jayega aur naam ke piche koi surname bhi nahi rahegi aur ab aap apni language ko fir se english kar sakte hai.
  • Facebook Account delete kaise kare.
  • Facebook Account kaise banaye
  • Facebook par last seen hide kaise kare.
  • Facebook par mutual friends kaise banaye.
Ek baat aur yah trick jab hi kaam karega jab aapke account me name change karne ka option available ho. Agar aapka naam change nahi ho raha hai ya aapne haal me apna facebook name change kiya tha to aapko 60 days ka wait karna hoga uske baad aap single name id bana sakte hai.

Conclusion

Finally aaj humne facebook se related ek bahut kamaal ki trick sikhi hai aur ab aap apne account par apne name ko single name id par set karna chahte hai to jaldi kare hamare bataye hue trick ka use karke aap yah kaam aasani se kar sakte hai. Aapko yah post kaisa laga hai iske bare me comment jarur kare taki hume pata chal sake ki aapko hamara content achcha lag raha hai ese post roj padhne ke liye hamari website ko subscribe kare taki hum aapko new updates ki jankari dete rahe chaliye hum jaldi new post ke sath aapse fir milenge.

Post a Comment

Previous Post Next Post