Type Here to Get Search Results !

Mobile me OTP Message nahi aate hai | To kya kare ?

Kya aap bhi otp ki samasya se pareshan hai aur aapko otp ke bare me nahi pata hai to ab aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai kyoki aaj hum aapko otp ki puri jankari dene wale hai. Namaskar dosto kaise hai aap log ummid hai ki aap achche honge. Dosto OTP ek tarah ka online verification code hota hai Jiske bina aap bahut sare online kaam nahi kar sakte hai Ji ha dosto agar aap online field me kaam karte hai ya fir aap koi bhi online Process kar rahe hai to aapko otp process to karna hi padegi kyoki online jitne bhi kaam hote hai usme otp ki madad se hi kisi bhi Process ko confirmation milta hai
otp nahi aaye to kya kare
Ab dekhiye bahut baar esa bhi hota hai ki otp ki Process kaam nahi karti hai kahne ka matlab hai ki aap koi online work kar rahe hai aur aap otp process karne jate hai par otp aapke paas aata hi nahi hai aur bina otp ke aap aage ki Process continue nahi kar pate hai aur isi samasya ko dekhte hue hum is post ko likh rahe hai Taaki aap logo ko otp ki jankari to de sake
{getToc} $title={Table of Contents}
Iske sath hi agar aapke paas otp ka message nahi aata hai to aap iske liye kya kar sakte hai taaki aapke paas fir se otp ka message aane lage. To chaliye dosto sabse pahle hum yah samajh lete hai ki otp kya hota hai aur iska kya kaam hota hai uske baad hum otp nahi aa raha hai to kya kare iske bare me bhi janenge isliye aap is post ko pura padhe.

OTP kya hai Janiye hindi me

OTP ka pura matlab hota hai one time password jaisa ki naam se hi pata chal jata hai ki yaha ek tarah ka password hai jise hum ek baar upyog kar sakte hai. OTP ek tarah ka online password hota hai jo kisi Process me verification ko confirm karta hai. OTP ki sabse khaas baat yahi hai ki hum ek otp password ko sirf ek baar upyog kar sakte hai aur har baar hume verification ke liye new otp generate karna hota hai. OTP dekha jaye 6 digit ke hote hai par ab otp me alphabets ka bhi upyog hone laga hai aur esa bahut sare online platform kar rahe hai. OTP kise kahte hai yah to aapko samajh aagya hoga to chaliye ab hum jante hai ki agar otp aapke paas nahi aata hai to aapko kya karna hoga.

OTP nahi aaye to kya kare ? Puri jankari detail ke sath

Ab hum sabse jaruri baat par aate hai ki agar mobile me otp ka message nahi aata hai to hume kya karna hoga taaki fir se otp ke message aane lage. Dekhiye dosto yah ek esi samasya hai jiske kai sare kaaran ho sakte hai to aap hamare bataye hue sabhi steps follow karna hoga uske baad aapki yah samsya thik ho jayegi

Switch on/off your mobile

Dekhiye sabse pahla kaam aap yah kare ki apne mobile ko reboot mare ya fir aap mobile ko band kare aur fir se chalu kare kyoki bahut baar hamare mobile ka message box kaam nahi karta hai aur new message nahi aate hai to esa karne se yah problem thik ho jati hai.

Using Airplane Mode

Ab ek tarika yah bhi hai ki aap apne mobile airplane mode ko band ya fir chalu karke dekh sakte hai agar aap mobile off nahi karna chahte hai to iska use bhi kar sakte hai kyoki yah bhi ese hi kaam karega.

Recharge nahi hona

Ab dekhiye aaj kal bahut sare sim provider aapki message service ko band kar dete hai agar aapke mobile me recharge nahi hota hai to isliye is baat ka dhyan rakhe ki jis number par aapka otp aane wala hai us par aapka recharge hona jaruri hai tabhi aapko otp ka message aayega.

Server down ho jana

Ab yah dikkat aapko 2 taraf se ho sakti hai aap jis Process ko kar rahe ho uska server down hoga to bhi otp nahi aayega ya fir jis number ya platform par otp aane wala hai uska bhi server down hoga to bhi otp nahi aayega aur esi situation me aapko wait karna hoga server ke thik hone ka jaise hi server thik hoga otp aane lag jayega.

Message box full hona

OTP message nahi aane ke piche sabse bada kaaran yahi hota hai ki aapke message box ka storage full ho gaya hoga aur isi wajah se otp to kya normal message bhi nahi aata hai to ese me aapko apne message box ke storage ko khali karna hoga aur is kaam ko kaise karna hai chaliye jante hai.

Step-:1 Sabse pahle aapko apne message app par click karke hold rakhna hai fir kuch option show honge yaha par app info par click kare.
click on app info
Step-:2 Ab messaging app se related kuch aur option dekhne ko milenge isme storage ka option select kare.
click storage option
Step-:3 Last me aapko Clear data ka option dekhne ko milega aap clear data par click karke ok kare isse aapke message app ka data clear ho jayega.
clear data kare
Dosto is tarah se hum message aap ka storage khali kar sakte hai aur ab new message ke liye bahut sara space hoga to ab agar otp message is wajah se ruka hoga to fir se aane lagega.

Aap hamari dusri post bhi padh sakte hai -:
Chaliye ab hum otp se hone wale fayde kya hai aur iske konse nuksan ho sakte hai iske bare me bhi jaan lete hai kyoki iske bare me bhi hume pata hona chahiye.

OTP ke Fayde ya advantage

Ab dekhiye otp ke bahut sare fayde hai jisme security sabse pahle aati hai kyoki otp ka kaam hota hai kisi bhi Process ko last confirmation dena. Hum ise ek example se samjhte hai jaise ki aap maan sakte hai ki agar aap apna koi account log in kar rahe hai aur ye kaam aap kisi ke samne karte hai to password bhi uske samne hi dalenge aur esa hone par aapka password us vyakti ko bhi pata lag jayega par ese me aapne apne account me otp security laga rakhi hai to password dalne ke baad aapko log in karne se pahle otp process ko complete karna padhta hai aur uske baad account open hota hai.

OTP se hone wale nuksan

Ab agar yahi par hum otp yani ki one time password ke nuksan ki baat kare to iska vaise to koi nuksan nahi hai par maan lijiye ki aap koi Process kar rahe hai aur otp aapke phone number par aata hai lekin us waqt aapke paas aapka wo number nahi hai to ese me otp ka confirmation aap nahi kar pate hai aur esi situation bahut logo ke sath hoti rahti hai isliye har jagah par otp lagana bhi aapko pareshani me daal sakta hai isliye jaha jarurat ho wahi par otp ka upyog kare. Isse aapko bhi kabhi otp se related problem nahi hogi. Dekha jaye to bas yahi iska ek nuksan hai nahi to otp use karna hamesha fayde me rahta hai.

Conclusion

OTP ke bare me dosto aaj humne aapko puri jankari dene ki koshish kari hai aur hum ummid karte hai ki aapko yah jankari achchi bhi lagi hogi agar aapke mind me esa koi sawaal hai jo otp se related hai to aap hume jarur bataye taki hum aap taki hum aapki madad kare aur aapki problem ko bhi thik kar sake. Aapko lagta hai ki otp se related koi esi jankari hai jo rah gayi hai to uske bare me bhi hume bataye taki hum aage ke update me aapko wo bhi jankari de sake. Chaliye is post ko hum yahi khatam karenge aur aapke liye jaldi new post lekar aane wale hai jab tak aap hamari website ko subscribe kar sakte hai isse aapko latest update ki jankari sabse pahle mil jayegi.

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.